Laasha behan behan

- Syed Raza Abbas Zaidi (2012)


Haaye haaye haaye, haaye husain..(2)
Guzri jo qatl gaah se, zainab jigar figaar
aakhe'n lahu lahu thi, badan par ghumo'n ka baar
laasho'n ko dekh dekh ke, roti thi zaar zaar
kehti thi jald aaiye, yaa shah e zulfiqaar
kaise batau kya mere, dil par guzar gai...
laashe pe bewatan ke jo, mai nange sar gai
haye baba...

ghurbat me qatl hogaya mazloom bewatan
mai bhai bhai kehti thi, laasha behan behan..(3)

1. Teero'n pe tha rakha hua, laasha husain ka
dooba hua lahu me, tha kurta husain ka
awaaz thi husain ki behna kafan kafan
mai bhai bhai...

2. Aayi na raas do ghadi, pardes ki fiza
kunba shaheed hogaya, mera ghar ujad gaya
pardes des ghayr ka apna watan watan
mai bhai bhai...

3. Ek dil pe daagh maine, bahattar utha liye
kuch daagh maine qalb ke, andar chhupa liye
chupte nahi chupaane se daaghe rasan rasan
mai bhai bhai...

4. Dekha hai baba maine, jo manzar batau kya
naizo'n pe rakha hua, sar har shaheed ka
ghodo'n ke daudne se tha tukde badan badan
mai bhai bhai...

5. Qasim ki laash laaye, the daman me shahe dee'n
sehre se beniyaz thi, naushaah ki jabee'n
ek shab ki rehne payi na jiski dulhan dulhan
mai bhai bhai...

6. Barchi kaleja e ali, akbar me jab lagi
baba ko di sada kabhi, awaaz mujhko di
kehta tha seena thaam ke amma chubhan chubhan
mai bhai bhai...

7. Baba hasan se taba, husain e shaheed tak
baba ameer e shaam se, daur e yazeed tak
loota hai ehle shaam ne baba chaman chaman
mai bhai bhai...

8. Ghazi ke baad aur, qayamat guzar gayi
pyaaso ki aas tootke, ban me bikhar gayi
ek shor al atashh ka bapa tha dahan dahan
mai bhai bhai...

9. Ye naukri bhi khoob hai, rehan aur raza
bhai ki naukri ka, behen ne diya sila
Han wo behen ye nauha tha jiska sukhan sukhan
mai bhai bhai...

Haye baba...