Chalo ghadeer chale
- Ali Deep Rizvi (2011)
Saji hai bazme mawaddat (chalo ghadeer chale) × 3
Agar nabi se hai ulfat (chalo ghadeer chale) × 3
1. (Khuda ne bheji wahi aaj yeh nabi keh do) × 2
Yehi hai kaar e resaalat (chalo ghadeer chale) × 2
2. (Khuda ka dee(n) bhi mukammal hua hai aaj ke din) × 2
Hai khaas mil rahi ne'amat (chalo ghadeer chale) × 2
3. (Mai jiska maula hu uske hai ye Ali maula) × 2
Yehi hai hukme risaalat (chalo ghadeer chale) × 2
4. (Nahi saqife ka band kamra ye khula maidaa(n) ) × 2
Ye sab hai rab ki inayat (chalo ghadeer chale) × 2
5. (Ali Hi logo'n bilaa fasl hai nabi ke wasi) × 2
Nahi daleel ki haajat (chalo ghadeer chale) × 2
6. (Khushi ke din bhi jise maut aa gayi logo'n) × 2
Ye apni apni hai kismat (chalo ghadeer chale) × 2
7. (Zamane bhar ko ye paighaam de raha hai ghadeer) × 2
Nabi ke baad imamat (chalo ghadeer chale) × 2
8. (Najis hai jinka lahu unse kya gila karna) × 2
Hai jinke khoo(n) me sharafat (chalo ghadeer chale) × 2
9. (Maqaam e Haider e karraar jaanne waalo) × 2
Ali ki dekhne azmat (chalo ghadeer chale) × 2
10. (Ali ke jo bhi hai shia ye un pe laazim hai) × 2
Manaane jashn e wilayat (chalo ghadeer chale) × 2
11. (Jo likh rahaa hai Ali deep midhat e maula) × 2
Yehi hai farz e wilayat (chalo ghadeer chale) × 2