Goonji sada husain ki
- Sayed Shabrez (2014)
Goonji Sada Hussain ki Abbas na raha
Bazu shaheed hogaye mashkiza chid gaya
Goonji Sada Hussain ki Abbas na raha..(2)
1. Apni qamar ko thamke haider ka laadla
Khaime se qatl gaah ki taraf dekhta raha
Zehra ke laadle ki nigahe tadap gayi
Jab zeen se zameen par Abbas gir gaya...
2. Akbar mujhe sambhalo meri jaan ho kidhar
Qasim zara si der ko aajao na idhar
Ae dost mere ibne mazahir Karo nazar
Rasta mujhe furat ka aata nahi nazar..
3. Lashkar kahan hai Mera alamdar hai kahan
Pucho kisi se Mera wafadar hai kahan
Abbas ke bina yeh adhuri hai zindagi
Ae nainawa bata Mera ghumkhar hai kahan..
4. Bazu nahi yeh saniye zehra ki Thi rida
In Bazuo pe binte yadullah ka naaz tha
Zainab samajh gayi rukhe shabbir dekhar kar
Abbas na raha meri chin jayegi rida..
5. Rokar sakina bibi ne kuza chupa diya
Har aas har umeed ko dil se mita diya
Boli chacha tumhari kasam pyaas Mar gayi
Be saakta zameen par khud ko gira diya..
6. Islam ki hayat ka saman kar gaya
Zaat e wafa par bawafa ehsaan kar gaya
Dariya me rehke paani ko laya na labor tak
Behti Huvi furat ko hairaan kar gaya
7. Dashte bala me saniye zehra ne di sada
Baba Mera wo monis o yawar nahi raha
Binte Ali tadap ke musalle pe gir gayi
Sajde ke baad boli rida haye meri rida...