Narga-e-ada mein qasim ghir gaya
- Sayed Shabrez (2014)
Nargaye Aada me Qasim ghir gaya x2
Bekhata Maqtal me Khun x2 uska baha..
Nargaye Aada me Qasim ghir gaya x2
Koi monis hai nahi mazloom ka
Tu hai Qasim ka nigebaa'n aye Khuda
Yeh akela har taraf x2
Ahle jafa..
Aisa noorani tha shabbar ka pisar
Chaudvi ka zaufe sha jaise kamar
chagayi us chand par x2
Shaami ghata..
Haye yeh Tera baras ki kamsini
Aur us par teen roza tashnagi
Kis tarha woh dair tak x2
Ladta bhala..
Teer hai khanjar sina talwar hai
Zulm ki mazloom par yalgaar hai
Phool se Qasim ko zakhmi x2
Kar diya..
Kamsino nazuk tha woh ibne hasan
Maa ke dil ka chain tha woh gul badan
Gul badan woh khoon me x2
Dooba hua..
Uspe lanat kyu naho rab ki kasam
Kis kadar sang dil the woh ahle sitam
Zinda hi pamal Qasim x2
ko Kiya..
Kis kadar zalim the shami ashkiya
Is kadar pamal Qasim ko Kiya
Tukde Tukde haye Qasim x2
Hogaya
Haq parast jaame ajal haskar piye
Maut hai misle shehed uske liye
Maut ka batlaya Qasim x2
Ne maza..
Shayar e aale aba qaiser suno
Fatema ki aal ka nauha likho
Fatema dengi tumhe x2
dil se dua..