Allah ye kaisa manzar hai
- Mir Hasan Mir (2010)
Allah ye kaisa manzar hai
Yeh Kaunsi Mastoora Hai, Kya Maang Rahi Hai. Islam Ki Khidmat Ka Silaa Maang Rahi Hai.
Har Saahib-e-Ghairat Se Ridaa Maang Rahi Hai, Pardes Mai Marne Ki Dua Maang Rahi Hai.
Afsurda Hai Aflaaq Siyaah-a-bosh Zamin Hai, Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab Toh Nahi Hai.
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
Beparda Shaamiyon Mai x 2, Aulaade Payamber Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
1. Nidaa De Raha Hai Ye Hasskar Manaadi,
Ay Logo Gharo Se Nikal Aao Jaldi,
Sazaae Do Inko Yeh Baaghi Hai Baaghi,
Bajhte Hai Shaadiyane x 2, Har Haath Mai Pathhar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
2. Kahaan Khauf Khaata, Hai Zaalim Kisi Se,
Bulaata Hai Ik Ik, Ko Woh Naam Leke,
Har Ik Bibi Chhupti Hai Zainab Ke Pichhe,
Khud Ko Chhupaaye Zainab x 2, Fizza Ki Pusht Par Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
3. Bataata Hai Shimr Aake Khud Shaamiyon Ko,
Ke Kaata Hai Mai Ne Issi Se Saro Ko,
Dikhaata Hai Lehraake Phir Bibiyon Ko,
Haatho Mai Uss Shaqi Ke x 2, Ik Khun Bhara Khanjar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
4. Huwa Hai Asar Itna Binaaiyon Par,
Ajab Kashmakash Mai Hai Asgher Ki Maadar,
Har Ik Neza Bardaar Ke Paas Jaakar,
Roroke Puchhti Hai x 2, Kya Ye Mera Asgher Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
5. Aseero Pe Kaisi Musibat Bani Hai,
Har Ik Bibi Bazaar Mai Dhundhti Hai,
Sakina Kahin Bheer Mai Khogayi Hai,
Mehshar Se Pehle Barpaa x 2, Bazaar Mai Mehshar Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2
6. Qayamat Mai Kaisi Qayamat Hai Barpaa,
Taqallum Hai Godi Mai Asgher Ka Laasha,
Adalat Mai Khaaliq Ki Aati Hai Zehra,
Nazre Jhuki Hai Sabki x 2, Nabiyon Ke Labon Par Hai
Allah, Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2