Ye meri zindagi maula ke naam hai

- Shadman Raza (2011)


 

Maula maula mere maula,
Mere maula maula maula..
Maula maula mere maula maula
Mere maula maula maula...

Unke naam se mera duniya me naam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai
Unke naam se...

1. Naam o nisha kuch mai rakhta na tha
Par aap ne kya se kya kar diya
Karta raha zikr mai aapka
Badhta raha yu mera martaba
Aapki khake qadam mera maqaam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai

2. Nauha gari, shayari, zakiri
Saari hai ye khidmate aapki
Na jaho mansab na daulat kabhi
Beshak kisike na kaam aaegi
Kaam aanewala bus maula ka naam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai

3. Maula tere naam ki barkatein
Humko jo hasil hui rif'atein
Ye maal kya, kya hai ye daulatein
Tu humse khush ho ye hai jannatein
Teri miljae riza rab ka in'aam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai

4. Hu mai faqat tere darr ka ghulam
Chaukhat pe teri rahunga mudaam
Nauha padhu aur bheju salaam
Khidmat azaa ki hai bus mera kaam
lab par tera tazkera har subho shaam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai

5. Ye kaif duniya na degi kabhi
Farshe azaa hai meri zindagi
Bus is azaa ke hawale se hi
Rakhegi duniya mujhe yaad bhi
Koi kya jane jo zakir ka maqaam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai

6. Mehfil ye majlis azaa ka samaa
Rakhte hai humko sadaa shadmaa
Majid jo duniya ka hai saebaa
Bus wo hai apne imam e zamaa
Humko faqr hai zinda apna imaam hai
Ye meri zindagi maula ke naam hai