Hum saath me mehdi(a.t.f.s) ke azadari karenge
- Imran Mehdi (2015)
1- HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
AZA KI HUMKO JUTUJU AZA NAHI TO KUCH NAHI
AZA HAMARI AABRU JAHAA'N KA KOYI GHAM NAHI
AZA HAMARI ZINDAGI AZA HAMARI BANDAGI.. HUSAIN(AS)..(3)
WO WAQT DUR AB NAHI K WAARISE HUSAIN(AS)
QAYAAM AB KARENGE JALD SHAAHE MASHREQAIN
JAHAA'N ME HOGI IK SADA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(3)
KOYI NA ROK PAAEGA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(3)
BAADE ZAHUR BHI YAHI GHAMKHWAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
1) MISLE LAHU RAGO'N M RAWAA'N HAI YE AZA
DAURE SITAM ME HAQ KA NISHAA'N HAI YEHI AZA
MEHRAABE DIL ME MISLE AZAA'N HAI YEHI AZA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
US WAQT K LIYE ABHI TAYYARI KAREKNE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
2) SAB NAUHAKHWAAN MAATMI KUL ANJUMAN K SAATH
MATAM KARENGE SHAAH(AS) KA SHAAHE ZAMAN(ATFS) K SAATH
NISBAT HAMARI HAI SHAHE TISHNA DAHAN K SAATH
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
ASHKO'N SE HUM SABEELE AZA JAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
3) SADQA HAREK SAANS HAI AALE RASUL(SAWW) KA
HAQ HAR GHADI NIBHAAENGE HAQ K USOOL KA
DIN BHAR BAQI ME PURSA KARENGE BATOOL(SA) KA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
SHAB BHAR AZA K FARSH PE BEDAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
4) TEHZEEB YE JULOOS O AZA KI YE CHASHME NAM
CHALTE HAIN HUM UTHAAYE JO ABBAS(AS) KA ALAM
TAYYARI US JULOOS KI KARTE HAIN DAM BA DAM
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
KHUD GHAAZI(AS) AAKE JISME ALAMDAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
5) DEHLEEZ PE HUSAIN(AS) K KHAM HO CHUKI JABI'N
KHAAKE SHEFA PE SURATE QURAAN HAI YAQI'N
MAULA(AS) KA SAATH CHOD K JAAENGE NA KAHI'N
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
TAABUT AUR ALAM KI NIGEHDAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
HUSAIN..(2)
SHURU JO ZULMO SITAM AALE MUTUFA(SAWW) PE HUA
TO SABSE PEHLE MASAAEB ME GHIR GAI'N ZEHRA(SA)
JALAAYA DAR KO MOHAMMAD(SAWW) K HAAYE UMMAT NE
PHIR USKE BAAD CHALAAYI ALI(AS) PE TEGHE JAFA
HASAN(AS) KO ZEHER MILA TEER BARSE MAYYAT PAR
SITAM YE BADHTE HUE DASHTE KARBALA POHCHA
HUSAIN(AS) LAASHO PE LAASHE UTHA K LAATE RAHE
SEHER SE ASR TALAK DIL PE ZAKHM KHAATE RAHE
GULU E SHAAH(AS) PE KHANJAR CHALA CHUKE AADA
SITAM UTHAYA HAI AABID(AS) NE PHIR ASEERI KA
JAFAAYEIN HAAYE YE BAQIR(AS) NE BACHPANE SE SAHI
SITAM YE JAAFAR(AS) O KAAZIM(AS) ALI REZA(AS) NE SAHA
GUZAARI UMR NAQI(AS) AUR NAQI(AS) NE GIRYE ME
K ASKARI(AS) BHI SUKU'N SE NA REH SAKE ZINDAA
ZAHURE MEHDIYE(ATFS) DAURAA'N KA AB ZAMANA HAI
JO MUNTAQIM HAI PAYE INTEQAAM AANA HAI
6) HUMKO TO YE YAQIN HAI "SALMAN AAZMI"
WAARIS JAHAA'N ME NAUHE KA BAAQI HAI AAJ BHI
"IMRAN" UNKE RU BA RU JAB HOGI HAAZRI
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(2)
NAUHA GUZAAR SAARE WAFAADAARI KARENGE..(2)
HUM SAATH ME MEHDI(ATFS) K AZAADAARI KARENGE..(2)
JAHAA'N ME HOGI IK SADA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(3)
KOYI NA ROK PAAEGA
HUSAIN(AS) YA HUSAIN(AS)..(5)