Ek sar hai tilawat karta hai

- Imran Mehdi (2015)


HAAYE HUSAIN(AS) HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE ABBAS(AS) HAYE HAYE SAJJAD(AS)..(2)

EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..(2)

1) BAAZAARE SHAAM KA HAI MANZAR SAB EHLE HARAM HAI BECHADAR
AUR KHAAK HAI MAQTAL KI SAR PAR AUR SAARA SAFAR HAI KAA'NTO PAR
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
MAGHMUM MADINA AUR KAABA JAAGIRE NAJAF AUR KARBOBALA
AFLAAK PE MEHSHAR HAI BARPA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA
EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

2) KAB JORO JAFA SE MUZTAR HAI GHAM YE HAI PHUPPI BECHADAR HAI
JO SHAAHE HUDA KI KHWAHAR HAI JO SHAHE NAJAF KI DUKHTAR HAI
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
AABID(AS) PE ZAEEFI CHHAYI HAI BAALO'N ME SAFEDI AAYI HAI
HAI LAB PE SADAAYE WAAWAILA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA
EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

3) QURAAN HUA YU PURGHAM HAI HAR SURAH MEHWE MAATAM HAI
AL HAMD KI AANKH HUI NAM HAI WAN NAAS KA GIRYA PAIHAM HAI
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
TATHEER K LAB PAR AAHO FUGHAA'N KAUSER BHI HUI HAI GIRYA KUNA
AUR AAYA E KURBA MEHWE BUKA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

SHAAM K BAAZAAR ME JAB LUTA HUA QAAFELA POHCHA,BAAZAAR SAJA HUA THA
YA MAQTAL SAJAYA GAYA THA, ALI(AS) KI BETIYAA'N BE MAQNA O CHAADAR
CHAARO TARAF MAJMA SHARABI KHUD KO KALMA GO KEHNE WALE MUSALMAA'N
AALE MOHAMMAD(SAWW) PAR PATHAR BARSA RAHE THE, KISI NE KHAULTA PAANI PHAINKA
HAR TARAF SE BAAGHI AA GAYE BAAGHI AA GAYE SHOR THA, SARE HUSAIN(AS) NAIZE PE
TILAAWAT KARTA RAHA, GHAAZI(AS) KA SAR NOKE SINA PAR THEHERTA NAHI
SAJJAD(AS) KA HAAL LAFZO ME KAISE BAYAA'N HO, BEDIYAA'N SAMBHAALE TAUQE KHAARDAAR
PEHNE DIL ME MAA BEHNO AUR PHUPPIYO KI BERIDAAYI KA GHAM, WO SHEHZAADI JISKO
AFLAAK NE KHULE SAR NAHI DEKHA, SHARAABIYO K MAJME ME KHULE SAR
BAALO'N SE MUNH CHUPAAYE MAQTAL KI KHAAK AUR BAZAARO K SANG REZE SAR ME LIYE
LABO'N PE SADA AL MADAD HAIDERE KARAAR AL MADAD HAIDERE KARAAR!

4) KYA MANZAR SHAAMO KUFA HAI..(2) ZAINAB(SA) KI RIDA RANJEEDA HAI
ZAINAB(SA) KI RIDA KA SADMA HAI TASWEERE HAYAA RANJEEDA HAI
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
NAIZE SE UTHA SHORE MAATAM HAR AANKH HUI HAI KHOON SE NAM
ROTI HAI KAHI'N TASVEERE HAYA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA
EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

5) JAB SHAAM KI ZAALIM RAAHO'N ME TAUQEER KA MAATAM HOTA HAI
JAB GALIYO'N ME BAAZAARO'N ME TATHEER KA MAATAM HOTA HAI
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
ROTE HAIN SAKINA(SA) AUR BAAQIR(AS) AASAARE QAYAAMAT HAIN ZAAHIR
HAIN MEHWE BUKA AMMA FIZZA(SA) AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA
EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

6) QIRTAAS O QALAM K SEENE PAR TEHREER BHI MERI ROTI HAI
AB AANKHO SE "SALMAN" MERI ASHKO KI RAWAANI JAARI HAI
HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE SHAAM..(2)
JAB YAAD AATA HAI WO MANZAR BECHAADAR THA ZAINAB(SA) KA SAR
JAB NAUHA GIRYA MAATAM THA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA
EK SAR HAI TILAAWAT KARTA HAI EK SAR NAIZE SE GIRTA HAI
EK QAIDI JHUKAAYE SAR HAI CHALA AUR SABKA SABAB ZAINAB(SA) KI RIDA..

HAAYE HUSAIN(AS) HAYE HAYE ZAINAB(SA) HAYE HAYE ABBAS(AS) HAYE HAYE SAJJAD(AS)..(2)

SHUKRE MAULA(AS) O BIBI(SA)