Karwaan chalta raha
- Imran Mehdi (2013)
Kaarwaa'n Kaarwaa'n.....(4)
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
Noke naiza par bhi sheh(as) ka..(2) imtehaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
1) Naa nazar aaye khula behno'n ka sar ye sochkar.....(2)
Ban k Zehra(sa) ka pisar khud..(2) ik Qur'aan chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
2) Has rahe the dekhkar binte Ali(as) ko ahle shaam
Kyu'n qayamat aayi naa kyu'n..(2) ye jahaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
3) Hai bahot mazloom bhi beemaar bhi laachaar bhi.....(2)
Tauq-o-zanjeero'n mein jakda..(2) naatawaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
4) Farq-e-Akbar(as) par padi thi Umm-e-Laila ki nazar.....(2)
Qalb par maadar k khanjar..(2) ik nihaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
5) Apne bhai pe hamesha misl-e-saaya jo rahi.....(2)
Saaye mein nazro'n k uski..(2) bezubaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
6) Naa koi waaris raha naa hi koi tha gham gusaar.....(2)
Khoon aankho'n se bahaaye..(2) saarbaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
7) Sar nahi rukta tha naize pe sakhi Abbas(as) ka.....(2)
Yu'n jari bankar hai ghairat..(2) ka nishaa'n chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
8) Kyu'n naa sar peete kare'n girya ye "Imran-o-Shabih".....(2)
Jab Imaam-e-waqt bhi..(2) girya kunaa chalta raha
Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)
Kaarwaa'n Kaarwaa'n.....(4)
..............Shukr-e-Maula(as)..............