Barchi nikaal lu
- Imran Mehdi (2013)
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..
Ye keh k aasmaa'n ki taraf ek nigaah ki..
Farmaaya ay Khuda mere Maalik mere Wali..
Wo taab-e-sabr de k naa tadpu'n naa kuch kahu'n..
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
1) Barchhi k saath mere jawaa'n laal ka jigar
Khichkar nikal bhi aaye to nazro'n ko pherkar
Shukr-e-Khuda mein khaak pe sajda adaa karu'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
2) Abbas(as) bhi chale gaye Qaasim(as) nahi rahe
Itna to hausla mujhe Parwardigaar de
Tanha jawaa'n laal ki mayyat utha saku'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
3) Barchhi mai is tarha se nikaalu'n k khaak par
Tadpe naa dard se kahi'n mera jawaa'n pisar
Badle mein chaahe khaak pe sau baar mai giru'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
4) Naana se apne waada nibhaane ka waqt hai
Zakhmo'n pe zakhm dil pe ye khaane ka waqt hai
Lekin ye marhala bada mushkil hai kya karu'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
5) Beta hu BuTuraab(as) ka hu khoon-e-Haideri(as)
Laa raib mere jaisa nahi hai koi jari
Larza hai phir bhi haath agar sochta bhi hu
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
6) Mujhko ye fikr hai kahi'n Zainab(sa) na dekhle
Khaime se bain karti naa Laila nikal pade
Barchhi nikaalte hue aawaaz kisko du'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
7) Chehra Najaf ki samt kiya aur ki fughaa'n
Mushkil kushaaye aalaami'n baba ho tum kahaa'm
Imdaad aap kijiye mai Ya Ali(as) kahu'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
8) Tasweer mere Naana ki farzand hai mera
Pyaasa hai teen roz se seena bhi chhid gaya
Do ghoot apne chaand ko paani mai laake du'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)
9) "Salman Azmi" koi tehreer kya kare
Barchhi pe haath rakh k jo Maula(as) tadap gaye
Rokar kaha Khuda mere mai surkh ru rahu'n
Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(3)
..............Shukr-e-Maula(as)..............