Allahummar zuqni

- Imran Mehdi (2013)


Husain(as) Ya Husain(as)..(2)
 
Assalaamo a'lal Husain(as)..
Wa a'laa Ali ibnal Husain(as)..
Wa a'laa As'haabil Husain(as)..
Wa a'laa Aulaadil Husain(as)..
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
Rabbil Husain(as).....
Rabb-e-Husain(as) Rabb-e-Mohamamd(saww) wa Murtaza(as)
Behaqq-e-Fatema(sa) o Hasan(as) hai yehi dua
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
1) Khaaliq hamare qalb ko raahat nasaeb ho..(2)
    Yaani hume bhi Uski shiaafa'at naseeb ho
    Haa'n wo jo Hukmraan..(2) hai dono jahaan ka
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
2) Mehshar k roz is tarha saabit qadam chalu'n..(2)
    Humraah mai Husain(as) k ash'aab k rahu'n
    Shabbir(as) par jinhone..(2) kiye jaan-o-tan fidaa
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
3) Wo roz jab k Maula(as) hisaab-o-kitaab ho..(2)
    Har ek sawaal par mera ek hi jawaab ho
    Mai maatami hu mera..(2) hawaala hai Karbala
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
4) Haa'n Wo Husain(as) Wo jo Mohammad(saww) ka hai pisar..(2)
    Saaya hai Jiska misl-e-shajar do jahaan par
    Har ek dil pe ab bhi..(2) hukumat hai kar raha
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
5) Baaqi hai jisse aaj ibaadat ka tazkera..(2)
    Wo jisne Karbala ko mo'alla bana diya
    Jalta hai Jisse aaj..(2) bhi Tauheed ka diya
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
6) Wo Jisne bandagi ka diya hai hume sha'oor..(2)
    Jisne milaaya khaak mein shaahi ka sab ghuroor
    Mazloom ko jahaan mein..(2) jeena sikha diya
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
7) Khanjar tale bhi sajda-e-Khaaliq adaa kiya..(2)
    Deen-e-Khuda pe Jisne bhara ghar luta diya
    Kehta hai jisko aaj..(2) jahaa'n sabr ka Khuda
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
8) Rab se karo dua yehi "Salman Azmi"..(2)
    Jab tak badan mein jaan hai nauha likho yun'hi
    Madfan k waaste..(2) mile "Imran" Karbala
 
Allahumar zuqni shifaa'atal Husain(as)..(2)
 
..............Shukr-e-Maula(as)..............