Behen husain ki hu'n
- Irfan Haider (2010)
Haaye...
jab aai shaam ki basti me (nange sar zainab)..(2)
aseer o muztar o betaabo (nauhagar zainab)..(2)
mu'n apna baalo'n se dhaanpe thi u'nth par zainab
ye roke kehti thi har dam ba chashme tarr zainab
haaye...
behen husain ki hu'n fatima ki jaayi hu
mai karbala e mualla se lutke aayi hu
1. Ujaad maariya me kho gaya chaman mera
bichhad gaya ali akbar sa gulbadan mera
hua shaheed har ek sher sa shikan mera
lahu rulata hai khud mujhko ye sukhan mera
haan...
2. Sakina bibi ne tab haath jod kar ye kaha
sina se dekho to ye zulm ye sitam baba
phuphi ke nauhe se dil hota hai taho baala
ke shaam walo ne mujhko nhi hai pehchana
haan...
3. Na koi raah me aaram hai na soti hu
tadapti rehti hu behaal ghum se hoti hu
ghame faraaq me mu'n aansuo'n se dhoti hu
ye bayn karti hu aur subh o shaam roti hu
haan...
4. Nahaar oonto ki thaame hai abid e muztar
kahi'n se aag barasti hai aur kahi'n patthar
aseere tauq salasil hai kya kare yaawar
wo mar na jaaye kahin mera marsiya sunkar
haan...
5. Ye baat shaam ke logo ko kya khabar na hui
ke ye jo oonto'n pe aaye hai sar khule qaidi
falak nasheen hai in qaidiyon me har bibi
khudara shaam ke logo ko ye bataye koi
haan...
6. Suna hai hoga ta'arruf abhi yaha'n mera
zamee'n chupa le mujhe ya utha le mujhko khuda
na sun sakungi shaqi ki zabaa'n se naam apna
sunu bhi kaise gawara lahu nahi karta
haan...
7. Zamee'n dabeer ki tazmeen hai ye mazhar ki
fughaa'n labo pe hai irfan ghum ke manzar ki
azaan e ranjo alam hai ye qalbe muztar ki
sadaa rulaegi ta hashr binte haider ki
haan...