Beemar chhod de
- Syed Raza Abbas Zaidi (2012)
Beemar chhod de..(2)
raahe pidar ki dekhna beemar chhod de..(2)
chaukhat pe aake baithna beemar chhod de
raahe pidar ki dekhna beemar chhod de
beemar chhod de..
1. Dehleez par jo aate hai, hai taaer lahu mai tarr
aati hai jinke paas se sughra bu e padar
kya hai sabab ye puchna, beemar chhod de..
2. Hai sar bureeda laashe, nahi koi ab tera
akbar tadap tadap ke sare dasht mar gaya
sehre ke khwaab dekhna, beemar chhod de..
3. Asghar ki yaad sughra, tujhe khoo'n rulaegi
kurta lahu bhara hua maa leke aaegi
jhule ke paas baithna, beemar chhod de..
4. Aangan me khelta na, sakina ko paogi
godi me kisko leke kahani sunaogi
raunak wo ghar ki sochna, beemar chhod de..
5. Qabr e nabi larazti, hai sunkar ye tere bayn
naize pe khoon rota hai sughra sare husain
baba ko yu pukarna, beemar chhod de..
6. Kooze me kyu ye chehra e asghar jhalakta hai
jab naam lu sakina ka pani chalakta hai
aise sawaal puchna, beemar chhod de..
7. Aaega khoo'n me dooba, alamdaar ka alam
abbas seh na paae sakina ka tha wo ghum
wo haath sar pe sochna, beemar chhod de..
8. Masnad pe kaun baithega, aakar puphi ke saath
kiske liye bichai hai bibi ye janamaaz
hujre ko yu sawarna, beemar chhod de..
9. Abid ki khoon roti, hui chashme ghum samar
kehti thi haaye dasht me maare gaye padar
raato ko uthke dhoondhna, beemar chhod de..
raahe pidar ki dekhna beemar chhod de..(2)
beemar chhod de..(2)