Naize aate hai teer aate hai
- Ali Safdar (2004)
Naize aate hai, teer aate hai..(2)
Maula zakhmo pe zakhm khaate hai
ran me tanha jo reh gaye hai hussain
Naize aate hai, teer aate hai
Maula zakhmo pe zakhm khaate hai
1. Ab na akbar, na qasim, na abbas hai
maula ek paykare hasrat o yaas hai
bekaso par sitam ki hui intehaa..(2)
the sitam jo.. bhi seh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
2. Haaye aale nabi yu rasan me bandhe
goshware chhine taziyane lage
ghum ye kaise sahe ho haram berida..(2)
saare sadme to.. seh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
3. Teer khake jo tum khuld me jaoge
dadi dada ko tum muntazir paoge
jaake unko dikhana ye zakhmi gala..(2)
nanhe asghar... se keh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
4. Dasht me khaima gaaho se uth ta dhuaa
sanahe ki sunata raha daasta'n
qafila janibe shaam rukhsat hua..(2)
aur maqtal... me reh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
5. Yaad rakhna hai baba ka tarze bayaa'n
karna darbaar me tum jihade zabaa'n
dil badhana sakina ka sajjad ka..(2)
bibi zainab.. se keh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
6. Maine fasiq ko sardaar maana nahi
sar qalam ho to ho sar jhukana nahi
raahe haq me karo apni jaane fida..(2)
momino se.... yeh keh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai
7. Hai ghulamo ne aansu jo hadiya kiye
ye lahad me kamaal apni honge diye
baade karbobala bar labe sayyeda..(2)
banke faryaad.. reh gaye hai husain
Naize aate hai, teer aate hai