Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhe kya mila
- Safdar Abbas (2003)
Poochta hay tum say ye dasht-e-karbala, Muhammad kay kalma go tumhen kya mila
1. (Nabi zadian ho gayi darbadar tumhen kya mila, musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila) x2
Hataaey lab-e-alqama say khayaam-e-shah-e-karbala,
muhammad kay pyarey nawasey ko tum ney sitam kyoon kiya
(usay to mila jam-e-kosar magar tumhen kya mila) x2
2. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Gulistan-e-zehra kay ghunchey bhi be aab murjhagayi,
huwe dil bhi veeran maaon ki godi say gul kya gaya
(kisi shaq say gul koyi tor kar tumhen kya mila) x2
3. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Woh kaisa qyamat ka manzar tha roti theen jab sayeda,
jo kehti theen ae baba jan mera shabbir mara gaya
(sawal apni ummat say poocho magar tumhen kya mila) x2
4. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Tamachey bhi marey sakina kay kanon say cheeney gohar,
andherey main woh dhondti reh gayi apney baba ka sar
(woh masoom bachi huwi be padar tumhen kya mila) x2
5. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Badan un shaheedon kay ghoron say pamal tum nay kiye,
bujhaaey hain tum nay sitam say muhammad kay ghar qaydiyee
(andheron main dooba muhammad ka ghar tumhen kya mila) x2
6. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Kahan aal-e-ahmed kahan sham kay sangdil rastey,
khuda or nabi kay haram day rahey they tumhain wastey
(woh shahzadian ho gayi darbadar tumhen kya mila) x2
7. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Musalmano tum they tamashai theen sar khuley bibian,
woh chehrey jinhen dekh paya na tha aaj tak aasman
(khuley sar kiya bibion nay safar tumhen kya mila) x2
8. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Bataao musalmano kyoon tum nay zainab ko beghar kiya,
bohat khoob tum nay muhammad ko ajr-e-risalat diya
(shuda kar kay shabbir ka tan say sar tumhen kya mila) x2
9. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Zara yeh to socho kay insaniat ka taqaza hay kya,
jo hain ghair muslim woh aal-e-muhammad say hain aashna
(koi tum say poochhey yeh aakey agar tumhen kya mila) x2
10. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Kya khoon say tum ney rangeen dasht-e-bala is tarha,
bahaya lahoo tum ney woh jo ragon main muhammad ki tha
(sajaaey shaheedon kay nezon pey sar tumhen kya mila) x2
11. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Wo sajjad jis ney saha sham main be ridayi ka gham,
raqam tazianon nay ki pusht pay dastan-e-sitam
(baha us ki aankhon say khoon-e-jigar tumhen kya mila) x2
12. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Shabih-e-nabi woh jawan jis ko mari thi tum nay sinan,
fughan us kay lashey pay yeh kah kay karti hay majboor maan
(kiya meray akbar kay tukrey jigar tumhen kya mila) x2
13. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Woh sham-e-ghariban woh charon taraf maut ka ik saman,
woh be aas sayyedanian aur khaymon say uthta dhoowan
(unhain kar kay be aas or noha gar tumhen kya mila) x2
14. Musalmano zehra ka ghar . . . .
Bandhi aas bachon ki pani jo leney gayaa tha jari,
chaley teer gazi kay bazoo katey chhid gai mashk bhi
(bataao kay pyasoon ka dil tor kar tumhen kya mila) x2
Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila