Husain o minni wa ana minal hussain
- Meesum Abbas (2007)
HUSSAIN O MINNI WA ANA MINAL HUSSAIN-4
1) Ik roz ka sunate hain (hum tumko waqeya)-2
Baithe hue zami'n pe the SARDAR AMBIYA) -2
ik zanu pe HASSAN the to ek zanu pe HUSSAIN,
Hukm E KHUDA SE kehte hain SARKAR E MASHRAQAIN.
HUSSAIN O MINNI..-2
2) Jis dum suna ye waqeya +ZEHRA ne BAAP se)-2
Boli ye kaun sath me (hoga HUSSAIN k)-2
Koi na hoga FATEMA khoo'n asmaan royega,
Khanjar k niche hoga jab ye mere dil ka chain.
HUSSAIN O MINNI..-2
3) ZEHRA ka rona dekhiye (PAIGHAMBAR E KHUDA)-2
Jo hukm hai KHUDA ka wo (batlaye zara)-2
Ik qaum aisi hogi Jo royegi Tere laal ko,
Hoga karam KHUDA ka bas us par ba zaib O zain.
HUSSAIN O MINNI..-2
4) ASGHAR ko dafn karke jab (utthe SHAH E huda)-2
Karbobala KI Jung ka (naqsha palat dia)-2
Ghabra rahe the sab layi'n chilla rahe the sab layi'n,
Lagta tha jaise aa gaye irfana e HUSSAIN.
HUSSAIN O MINNI.. 2
5) MOLA HUSSAIN karte the (KHALIQ se ye dua)-2
ZAINAB ko sabr dena tu (hai meri iltija)-2
QURA'N ki tarjuman hai ye dee'n ki paasbaan hai,
Sun kar k shams ne kia ro ro k shoro shain.
HUSSAIN O MINNI.. 2
6) Sar ko utha k fakhr se (JIBREEL ne kaha)-2
Bachpan me Jo kia tha wo (wada nibha dia)-2
Deen E KHUDA k waste sher E KHUDA k laal ne,
Sajde me sar sar kata dia ZEHRA ka noor E ain.
HUSSAIN O MINNI.. 2
7) Rumal le ke ayin hai (majlis me SAYYADA)-2
Meesum aza KI bazm me (tu marsiya suna)-2
Maghrab gunah gar hai par tera soghwar hai,
Mehshar me bakhshwana tu MOLA mere HUSSAIN.
HUSSAIN O MINNI WA ANA MINAL HUSSAIN.