bano se aake
- Meesum Abbas (2007)
Ay amma-3
Bano se aake khwab me kehta tha sheer khwar
Ay amma-2
Ay amma mai dadi k paas hun.
Furqat me meri yoon na karo dil ko beqarar.
Ay amma-2
Ay amma mai dadi k pas hun.
1) Pani ki ek boond bhi Mai pa bhi nahi saka,
Maqtal se khaima gah Mai aa bhi nahi saka-2
Tumko gale ka zakhm dikha bhi nahi saka,
Zalim ka teer ho gaya gardan k aar paar.
Ay Amma-2
Ay amma mai...
Bano se..
2) Aakar Jo mere halq pe teer E sitam laga,
Sukhe gale se khoon ka chashma ubal pada-2
Chullu me leke Baba ne chehre pe mal lia,
Acha hua KI tumne na dekhi wo khoo'n ki dhaar
Ay amma-2
Ay amma mai..
Bano SE..
3) Tabdeel meri pyas ka manzar na ho saka,
Tha khushq halq khushq raha tar na ho saka-2
Turbat me bhi sukoon mayassar na ho saka,
Naize se zalimo'n ne ukhada mera mazaar
Ay amma-2
Ay amma mai...
Bano se..
4) Pehle kia shaheed mujhe teer maar kar pheri gale pe tegh lehed se nikal kar-2
Phir naize pe chadhaya gaya haye mera sar,
Mujh par sitam kiye hain layeeno'n ne baar baar
Ay amma-2
Ay amma mai...
Bano se..
5) Aaya Jo khaima gah SE Baba KI God me,
Phir ja na paya Bali SAKINA KI God me-2
Jata watan to khelta SUGHRA ki God me,
Taqdeer par raha hai bhala kiska ikhtiyar.
Ay amma-2
Ay amma mai...
Bano SE..
6) Mahaul dil kharash tha qatl gah me,
Sare gunah gar the shamil gunah me-2
Khaya kisi ne Rehem na zalim sipah me,
Meri lehad bana k bahot royi zulfiqar
Ay amma-2
Ay amma mai...
Bano se..
7) Zakhmo'n ne mera nanha sa dil choir kar dia,
Taqdeer ne behen se bahot Dior kar dia-2
Mai kya kahun KI maut ne majboor kar dia
Keh do SAKINA se na kare mera intezar
Ay amma-2
Ay amma mai...
Bano se..
8) FAKHRI Tere kalaam KI wo ehmiyat nahi,
Meesum Tere bayan me wo kaifiyat nahi-2
Us dard ko sametne KI haisiyat nahi,
Jis dard SE tadap k ye kehta tha sheer khwar
Ay amma-2
Ay amma mai dadi k pas hoon.
Bano SE aa k khwab me kehta tha sheer khwar
Ay amma mai dadi k pas hun.