Lashkare Mehdi(at.s.f.)

- Imran Mehdi (2013)


Ya Imaam-ul-Muntazar(atfs).. Ya Imaam-e-Ins-o-jaa'n(atfs)..(2)
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
1) Karbala se ishq hai mai hu azadaar-e-Husain(as)
    Is azadaari se hatkar zindagi mein kab hai chain
    Qalb-e-muztar ko mere aa jaaega Maula(as) qaraar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
2) Baarwe'n Maula(as) mere ay asr-e-haazir k Imaam
    Hai abhi baaqi jo Maula(as) Karbala ka inteqaam
    Saath mein hum bhi ho jab leharaaye tegh-e-Kirdegaar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
3) Karbala-e-nau hai phir baeyat talab nasl-e-Yazid(la)
    Muntazir hain maatami bas Aapki ho jaye deed
    Farsh-e-majlis par yehi hai har Husaini ki pukaar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
4) Hai yehi hasrat Baqi taameer ho Shaah-e-Zamaa'n(afs)
    Aapke hamraah jaaye'n aur kare maatam wahaa'n
    Jis jagah uththe nazar Shabbir(as) k ho'n pursadaar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
5) Aap jo aaenge Maula(as) parcham-e-Hazrat liye
    Dil mein hain hum har ghadi bas khwahish-e-nusrat liye
    Kar raha hai ye dua har maatami yu'n dilfigaar
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
6) Zindagi ka kya bharosa saan's ruk jaaye abhi
    Dekh le bas Aapko itni ataa ho zindagi
    Aapko haasil hai saanso'n par bhi meri ikhteyaar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
7) Hum samajh lenge hamari zindagi ka hai husool
    Ye dua "Salman" aur "Imran" ho jaaye qubool
    Jaan-o-tan qadmo'n pe kar de apne Aaqa k nisaar
 
Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)
 
..............Shukr-e-Maula(as)..............