Lehed choti banayi kyun gayi hai

- Hussaini Azadar Tanzeem (2012)


Lehad choti banayi kyun gayi
Reha hokar haram jab ran me pohche
kaha zainab ne abid se tadapke
shaheedo'n ki kaha'n qabrein bani hai
fugha'n karti ye aale nabi hai
kaha sajjad ne haaye phuphijaa'n
nahi tadfeen ka tha koi saamaa'n
wo dekho qabr hai baba ki mere
wo akbar ki ye qasim ki hamare
gaye sahil pe ek choti lehad par
tadap utthi ye keh kar binte haider
ye kiski qabr hai sajjad beta
hai isme dafn kis be ghar ka laasha
kiya phir aabid e muztar ne nauha
ke is me dafn hai laasha chacha ka
kaha zainab ne ay sajjad beta
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2
Mera abbas to chota nahi tha
Lehad choti banayi kyun gayi hai

1. Pukari SANIYE ZEHRA ay dilbar
Mere ABBAS ka aisa muqaddar
Lehad choti si aur GHAZI ka laasha
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

1) mere AABID phuphi jaa'n ko bata de
Chacha ki lash dafnayi hai kaise
Mera bhaiya jawano me siwa tha
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

2) Kisi choti si turbat me ay dilbar
Mera ABBAS soya hai to kyun kar
Badi mushkil me hoga mera bhaiya
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

3) mujhe lagta hai ay beemar mere
tha laasha ba wafa ka tukde tukde
zara apni phuphi amma ko batla
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

4) phuphi amma btaun mai ye kaise
Chacha KI lash k tukde the bikhre
Kia chun-chun ke jinko maine yak jaa'n
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

5) Tarai me chacha ki laash rakhi
bhatije ne banakar qabr chhoti
lehed me phir rakha unka janaza
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

6) Yehi kehti thi dadi mujhse rokar
ke ek tukda yaha par ek waha par
mera ghazi hai haaye paara paara
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2

7) 'Mubarak' jab kaha zehra ne rokar
nazar aata hai tukdo me dilawar
qayamat tak na ab aansu rukege
Lehad choti banayi kyun gayi hai-2