Muljim ne aaj kaisi

- Ali Safdar (2012)


Maula ali...(4)
Masjid e koofa laraz uthi..
kohraam barpa hogaya dono jahaan mein..(2)
Muljim ne aaj kaisi musibat ye dhayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai..(2)

1. Masjid me haaye tune namazi ko maar kar..(3)
duniya me kis tarah ki musibat machayi hai

2. Koofe ki har gali me yehi shoro shayn hai..(3)
muljim ne aaj zarb ali pe lagayi hai

3. Zakhmi padar ko dekh ke hasnain ro pade..(3)
zainab pukari aye mere nana dohayi hai

4. Aayi sadaa e ghayb ke maula hue shaheed..(3)
har samt momino pe udaasi si chhayi hai

5. Koofe ke sab yateem tadapte hai khaak par..(3)
baade saba ne kaisi sunani sunayi hai

6. Larzi zamee'n husain ke aaho fugha'n ke baad..(3)
zaalim ye tune kaisi qayamat machayi hai

7. Khoone ali ko dekhe ke roti hai kayenaat..(3)
sajde me rozedaar ne talwaar khaayi hai

8. Bachho ke bayn sunke malaek bhi ro pade..(3)
roya khuda e paak to royi khudayi hai

9. Rota qalam hai mera manazir mai kya likhu..(3)
saqlain ke wali pe jo zarbat lagayi hai
deene rasool e paak ki shamma bujhai hai
Maula ali...(4)