Are O shaam walo

- Sayed Shabrez (2015)


Shaam haye Shaam
Shaam haye shaam

Are o shaamwalo
Main saidani hu mujhko rida dedo dua dungi

Ali ki laadli hu mujhe pathar na maaro Rida dedo dua dungi

Mere sajjad ko qaidi banaya main nahi boli
Sakina ka gala rassi se bandha main nahi boli
Magar ab bolti hu bas itna rehem kar do..

Mujhe tatheer ki waris samajh ke sirf yeh socho
Janaza bhi meri madar ka uttha Raat me logo
Khule sar kaise jaun main in galiyon me socho..

Aseere Zulm hu tashna dahen hu be watan main hu
Jo Apne bhai par sab kuch luta de woh bahen main hu
Bohat mazloom hu main meri faryaad sunlo..

Yeh sar Abbas ka naize pe logo Kyu nahi rukta
Kabhi socha nahi Kya Ghum hai logo majra hai kya
Bahen ki beridayee sabab iska hai logo..

Tamasha bangayi zehra ki beti Kya yeh Ghum kam hai
Akhi ki laash se be parda guzri Kya yeh Ghum kam hai
Mera chehra na dekho Tamasha mat banao..

Inhi galiyon me Kal baba ka mere raaj tha logo
Yahan se berida main kaise guzru bas yehi socho
Main chup hokar sahungi saza Kuch Aur dedo..

Sitam woh Kalb par Maine sahe Jo dasht me dhaye
Saher se Shaam tak ghar Mera ujda Khaime jalwaye
Ab itna rehem khao meri janib na dekho..

Sar e Naiza mere bhai ka sar bhi khoon rota hai
Mera sajjad bhi sar ko jhuka kar Ghum yeh sehta hai
Woh Ghum se marna jaye bas ek ehsaan kardo..

Ali woh Shaam ka dard naak manzar Kya likhe mazhar
Tadap ke shaam ke logo se boli Binte paigambar
Saza e Maut dedo mujhe ya phir layeeno..

Rida dedo dua dungi