Asghar asghar karti hai maa

- Faraz Zaidi (2011)


Asghar Asghar karti hai maa-2
Meri God me rakh hai jhule ki tu naize ka mehma'n
Asghar Asghar karti hai maa-2

1) Khaime  se wo Teri  rukhsat har pal thi maa pe qayamat,
Kuch to thi pyas KI shiddat aur us par dhoop KI shiddat
Shabbir k hatho'n par dekha phir khoon me tar Qur'an
Asghar..

2) Ay God me sone wale tujhe kaise nind aayegi,
Ye patthar jal ummat hai ye patthar barsayegi,
In sham k rehne walo'n me koi bhi nahi insa'n.
Asghar....

3) Aashoor KI shab dhalni thi aashoor ki shab dhalti thi,
Honi thi sehar mehshar KI aur surkh aandhi chalni thi,
Ehsas tha maa ko maqtal me kise dhundhnte hain paika'n
Asghar...

4) Maa Tere bina ay beta kis tarha sukoo'n payegi,
Baithegi dhoop me paiham wo chaao'n me na jayegi,
Aa jaungi jaldi hi paas Tere  tujhse hai mera paima'n.
Asghar...

5) Ab nok e sina par tu hai khoyi hai kahan par lori,
Aaghosh me tu hota tha hoti thi zabaa'n par lori,
Cheh maah ke sath me  jo guzri tujhe sab kuch yaad hai naa.
Asghar...

6) Maa chup hui itna keh kar hai tujhko khabar mere Asghar,
Har guzre hue se badhkar aayegi qayamat mujh par,
Meri maasoom Sakina ki bas manzil hai zinda'n.
Asghar...

7) Asghar ne Faraz e naiza se maa  ki taraf dekha hai,
Phaili hai zami'n Ki gardish aur khoon falak roya hai,
Aabid wo azal k waade par dono ne kaha tha haan.
Asghar Asghar karti hai maa-2