Asghar ka jhula

- Fatema Ladak (2016)


MAA KHEYALO MEI JULAATI REHGAYI ASGHAR KA JULLA
NA RAHE ASGAR NA JULAA REH GAYA MAADAR KA NAUHA

MAA KE DILSE KOI PUCHE CHE MAHINE KA THA ASGHAR
DHOOP MEI MAKTAL KI SOYA AUR KAR ZAKHMO KI CHAADAR
AB KAHA BAKI RAHA HAI ZINDAGI MEI MAA KI SAAYA

RAAKH JULLE KI CHUPA KAR DAMENE NASHAAD MEI WO
DHOOP MEI TA UMR BETHI BEZUBAA KI YAAD MEI WO
JAB GAYI SAAYE MEI DUKHIYA HOGEYI KHUD EK LAASHE

BAS CHALE KHAIMO KE ANDHAR YAAD HAI JULLE KI BAAKI
CHASME MAADAR MEI MAGAR WO HAR GARRI TASWEER AATI
AKHS WO JULLE KA PAHAM AUR PISAR KA CHAND CHEHRA

NAAS KITNE TH UTHAAYE RAAH MEI PALKE BICHAYE
EK SHAB PEHLE ABHI THO LORIYAA ISS KO SUNAYE
LORIYO KI SAB SADDA E BAN GAYI GIRAA O NAUHA

KHOO BAHRA KURTA UTHAYE SHAAM KE ZINDAAN MUZTAR
AAG DARIYA SE GUZRI MOWT KE ARMAAN LEKAR
JAB WATAN ZINDAAN SE AAYI GHAR KA DOONDHA KONA KONA

KHWAB AANKO MEI SAJAA E KHAISHE TABEER MEI BAS
AHSOO O NE GHUM LIKHE TH GHUM ZADAA TAQDEER MEI BAS
BAEN KARTI THI HAMESHA DHOOP MEI HAI MERA BACHA

ZAKHM JO DHARKAN PE AAYE WO GINNE NA JAA SAKEGE
TEER YAADO KE MUSSALSAL KALBE MAADAR PAR CHUBHEGE
MOWT SE BERKAR HAI MUSHKIL MAADAR E ASHGHAR KA JINNA

FATEMAH SAARA BAYAH YEH ASGHAR E MASUM KA HAI
BAR LABBE SALAM NAUHA MAADAR E MASLOOM KA HAI
KYU NA DE FARSH E AZAA PAR EHLE GHUM RO RO KE PURSA