Khaak pe kaise soyi sakina

- Syed Mohd Taqi (2016)


Sochta hu tassavur me aksar
khaaq pe kaise sooi sakina

Shah ka seena tha bibi ka bistar
khaaq pe kaise sooi sakina.

1) qabr jaisa andhera makaa tha
Khud andhera bhi mehve fuga tha
Sara zindaa bhi giryaa kuna tha
Keh ke rote thay deewaar aur dar..

Khaaq pe kaise soi sakina..

2) jo sukoon e dil e shahedee'n thi'n
Apne baba ke gham me hazi thi'n
Maa ki godi me soti nahi thi
Khaaq pe apne rukhsaar rakh kar.

Khaaq pe kaise soi sakina..

3) sina e shah pe vo hazina
Bas sukoo'n se thi soti sakina
Jab na paya tha baba ka seena
Aya kaise sokoo'n vo mayyasar.

Khaaq pe kaise soi sakina..

4) shaam e gurbat me vo gham uthaaye
Kis qadar zakhm hai dil pe khaaye
Kaise kamsin ko phir neend aaye
Odh kar dard aur gham ki chadar ..

5) har qadam jo lage thay tamache
Haai rukhsaar zakhmi thay uske
Zakhm rukhsaar ke kab bhare thay
Khaaq pe apne rukhsaar rakh kar ..

Khaaq pe kaise soi sakina..

6) laadli thi jo ghar bhar ki aisi
Godh me hi thi har waqt rehti
Khaaq qadmo ne dekhi nahi thi
Haai barpa hua kyu na mehshar.

Khaaq pe kaise soi sakina..

7) sina e shah pe tha usko sona
Saan-e-haa aisa bacchi pe guzra
Baba aaye nahi sir hai ayaa
Tab samajh aya salman manzar

Khaaq pe kaise soi sakina..