Abbas Abbas

- Syed Mohd Taqi (2016)


Abbas abbas (4)
Kehte hai lahoo apna bahakar tere gham khuwaar
Abbas abbas (4)

1) Allah ka ki be misl shariyat ke muhaafiz
Wallah tumhi chadar e ismat ke muhafiz
Hadh yeh hai risalat ke imamat ke muhaafiz
Shabbir ke lashkar ke alamdaar alamdaar

2) jo shah ki adawat me zabaa khol rahe hai
Dar asl vo shaitaa ki zabaa bol rahe hai
Ashiq tere har daur me anmol rahe hai
Kardenge sitamgaaro ke mehlo ko bhi mismaar..

3) Allah bhi raazi hai payambar bhi hai raazi
Zehra bhi hai,sarwar bhi hai, haider bhi hai raazi
Shabbir bhi khush, hazrat e shabbar bhi hai raazi
Un sabse jo hai teri razaao ke talabgaar

4) yeh sir teri chowkhat pe jhukaane ke liye hai
Aur haath alam tera uthaane ke liye hai
Hum zinda tera sog mana ne ke liye hai
Ho daur koi hum toh hai bas tere tarafdaar..

5) tujh jaisa bahadur nahi koi bhi jahan me
Larzish hai tere saamne har ek zabaa me
Khuwaish hai tere deedh ki har ek jawan me
Jarrar ka farzand bhi jarrar hai jarrar..

6) zehra ke pisar hazrate haider ke dulaare
Aye bazu e shabbir rasool o ke sahare
Likhega bhala kaun fazail ko tumhaare
Yeh azmo shujaa'at yeh wafa sabr yeh isaar..

7) soye hue zehno ko phir ek baar jagade
Koi umar e saad se jakar yeh batade
Darya pe jo fauje hai unhone khud hi hata de
Ataa hai sue nehar sakina ka alamdaar

8) islaam e muhammad ke liye haath kataye
Maidaa ne shahdat me bohot zakhm hai khaaye
Ha baali sakina ne bohot ashq bahaaye
Kehte thay sare dasht yeh sarwar mere jarar..

9) yeh majlis shabbir yehi maahe muharram
Pehchaan taqi aur sharar apni hai Matam
Kyu kar na rahe saamne abbas ka parcham
Hum aaye khud dekh ke abbas ka darbaar..

Abbas abbas..