Na Majaye kahi

- Syed Mohd Taqi (2016)


Haaye zahra haaye zahra (2)

Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2)

Khuda jaane ke kya likkha hai zehra ke muqaddar me

Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2)

1) Abhi taza tha dil pe zakhm baba se bichadne ka
Utha paayegi sadme kaise apni kok ujad ne ka
Ayaa'n hote hai kitne dard is purdard manzar me...

2) Rasool-e-paak bhi jis dar pe apna sar jhukaate thay'n
Farishte bhi jaha'n par sar ba sajda paaye jaate thay
Lagate hai musalma'n aag be dardi se us dar me..

3) Masaib malkaaye sharmo haya ke ho baya kaise
Gira pehlu pe darwaza shahadat paai mohsin ne
Tapakta hai lahoo chadar se ghar ki khaaq hai sar me..

4) Yeh vo gham tha ke jis gham me zaifa hogai zahra
Safedi chaa gai baalo'n pe peela hogaya chehra
Chupakar rakhti hai khudko hamesha apni chadar me...

5) gale me haider-e-qarar ke jis dam rasan dekhi
Pukari fatema sar se chadar ko hata dungi
Ali ko chor do warna fana kardungi pal bhar me..

6) Hamari jaane qurbaa'n fatahe haider ke mansab par
Gale me raismaan-e-zulm aur hamd-e- khuda lab par
Khuda jaane kitna sabr aur himmat hai haider me...

7) Gham-e-binte payambar hi jo ek gham ho saha jaaye
Magar ek saath do do gham uthaayenge
Ali kaise
Gham-e-mohsin bhi shaamil hai, gham-e-binte payambar me..

8) khuda jaane ke kya "Asif" kaha mohsin ke qatil se
"Taqi" yeh kaun batlaaye kiya hai sabr kis dil se
Nazar aai pisar ki laash jab, apni hi chadar me...

Na marjaaye kahi na mehramo ki bheed hai ghar me (2)