Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

- Mir Hasan Mir (2009)


Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

 

Ameer hussain
Ghareeb hussain

(Ameer bhi hai ghareeb bhi hai) x2


Hussain mehboob e kibriya hai

Hussain ghurbat ki inteha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai


(Hussain maqsood e karbala hai) x2

Hussain mazloom e karbala hai

(Ameer bhi hai ghareeb bhi hai) x2
Hussain mehboob e gibriya hai

Hussain ghurbat ki inteha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

 

1.     (Ameer aisa kafan ki soghat jis keh rozey se bat rahe hai) x2

Ghareeb aisa keh khud ko ab tak kafan mayesar nahi huwa hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

2.     (Ameer aisa keh jis ka jhula Nabi jhoolayein Ali jhoolayein) x2

Ghareeb aisa keh jis keh bachey ka ban mei jhula bhi jal gaya hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

3.     (Ameer aisa keh rasm-e-parda dari chali hai ussi keh ghar se) x2

Ghareeb aisa keh sham o kufa mei us ki hamsheer berida hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

4.     (Ameer aisa Sakina jaisi khuda neh beti jisey ata ki) x2

Ghareeb aisa ussi keh moo par koi tamachey laga raha hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

5.     (Ameer aisa keh jis ki baba ki milkiyyat mei hai hawze kausar) x2

Ghareeb aisa keh teen din se ussi ko pani nahi mila hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

6.     (Ameer aisa ke jiska beta, shabih-e-sardaar-e-ambhiya hai) x2

Ghareeb aisa ke wohi seene mei barchi khaaye tarap raha hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

7.     (Ameer aisa khuda ka dee(n) jis keh dam se hai aj tak salamat) x2

Ghareeb aisa keh ran mei jis ka badan salamat nahi raha hai

 

Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Hussain Ghareeb Hussain

 

8.     (Ameer aisa keh patharo ko bana deh gohar wohi takallum) x2

Ghareeb aisa keh patharo mei ussi ka lasha chupa huwa hai

(Ameer bhi hai ghareeb bhi hai) x2
Hussain mehboob e gibriya hai

Hussain ghurbat ki inteha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai

Ameer, Hussain

Ghareeb, Hussain