Haath kiya sheh ka qalam
- Syed Mohd Taqi (2016)
Haye haye haye husaina
Haye husaina (2)
Kaise bhoole jo kiye ummat-e-aasi ne sitam
Ek anghuti ke liye haath kiya sheh ka qalam (2)
1) Le gaya koi kamar bandh Amama koi
Sar koi le gaya aur jism ka kurta koi
Koi batlaaye sitam kya yeh qayamat se hai kam...
2) Hai musalmaa ke liye doob ke marne maqaam
Be kafan dasht e baya me hai ummat ka imam
Kya bhula dene ke qabil hai yeh sab ranjo alaam...
3) Jiska gehwara jhulaate thay malayak akar
Jis gehwaare se fitroos ko mile baalo par
Jisko kaandho pe bithaate thay'n rasool e akram..
4) zindagi me hi agar maangte sarwar dete
Jholiyaa'n apni jo phailaate use bhar dete
Yeh sakhi vo hai jo rakhte hai sakhawat ka bharam...
5) Chain se zehra ko marqad me bhi sone na diya
Bhai ki laash pe ek behen ko rone na diya
Ummat-e-amad-e-mursal ne kiye kitne sitam...
6)Malkaaye sharmo haya deti thi khaime se sada
Wasta tujh ko muhammad ka laee'n zulm na dha
Phir bhi kata hai sitam gar ne sare shaahe umam..
7) Jisko seene pe sulaate thay rasool e arabi
Laash us bekaso muztar ki na dafnai gai
Gham hai is baat ka phir bhi na hui aankhe nam ...
8) Ek musalmaa ka musalmaano ne laasha luta
Kis liye dhaate ho yeh zulm kisi ne na kaha
Haaye khaamosh rahe sab hi arab ho ke ajam..
9) Jab kata haath toh "Asif yeh kaha zehra na
Kaun se zulm ka badla yeh liya hai mujhse
Keh rahen honge "Taqi" roke rasool-e-akram..