Ghar ghar me bicha hai farshe azaa

- Syed Mohd Taqi (2016)


Ya hussain (4)

Phir maahe muharram aya hai
Ghar ghar me bicha hai farshe azaa

Ya hussain (4)

1) Aati hai sadaye matam ki har simt fiza me nauha hai,
Paiker hai mukammal yeh gham ka,
Jo chand falak pe ubhra hai,
Sab ghar me aza khaane hai saje'n (2)
Ek sog ka alam chaya hai...

2) Har dil me ghamo ki lehre hai,
Ashqo ka samadar palkho par,
Maqtal ke manazir aankhon me,
Tehrir ki yeh kisne akar,
Gham apne bhula kar har insaa'n (2)
Shabbir ke gham me rota hai...

3) Pyase jo rahen thay maqtal mein,
Toh yaad me un sab baccho ki,
Paani ki sabile jaari hai,
Jo pyaas bujhati hai sabki,
Apna ho, ya ho gair koi (2)
Sehraab isi se hota hai...

4) Jab farshe aza bichta hai kahin,
Aur nauhay sunaaye jaate hai,
Shabbir ke purse ki khatir,
Sab ehle haram ajaate hai,
Mehmaan waha par hai zehra (2)
Jis ghar me majlis barpa hai...

5) sarwar ke juloos o ke aagey,
Abbas ke parcham hote hai,
Aur matami halqo ki surat,
Sab ehle matam hote hai,
Shabbir ka gham har aankh hai nam (2)
Har lab pe buqao girya hai...

6) Ha zehra ka bhara ghar ujda tha,
Haider ko bohot tadpaya tha,
Vo maahe aza eksat hijri,
Jo karbobala me aya tha,
Us maahe muharram ki yaaden (2)
Yeh maahe muharram laata hai..

7) Is chand ko dekho aye logo,
Jo chand falaq par hai yeh aya,
Is chand ke paikar me shaamil,
Sughra ke ghamo ka sara baya,
Akbar,Asghar,Qasim,Gazi (2)
Har aks nazar aajata hai...

8) Salmaan o Taqi farshe gham par,
Sab matami aur sab nauha khuwa'n,
Karte hai namaz e ishq ada,
Dete hai sada nauho ki azaa'n
Ta hashr nibhaayenge aise (2)
Zehra se hamara wada hai...