Sughra tumhe lene
- Shahkar Abbas (2015)
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
Tum sabr karo sabr karo sabr khuda ra wada hai mera.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera
1.bemaari ka aalam mai behen ro-o-na itna kuch der to roka karo ashkon ko khudara tum roti ho jab rota hai yeh saara madina.pyari meri behna.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
2.halaath agar hoonge sukoo'n bakhsh wahan ke sunn logi sada phir meri lehje mai azaa'n ke dekhoonga phir ekk bar main yeh phool sa chehra. Woh hoga savera.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
3.tum khabr pa nana ki charagoon ko jalana rodad ko tanhayee ki dadi ko sunana aur haat dua ke liye har waqth utthana. Ansoon na bahana .
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
4.roke se nahin rokte hain ansoon mere bhaiya kuch der mai ab hoga juda mujhse yeh kunba kis tarha guzaroon gi shabo rooz mai tanha. Bolo mere bhaiya.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
5.hamrah mujhe le chalo paidal hi chaloongi ekk lanha guzarish na sawari ki karoongi laoongi na iss baat ka lab par kabi shikwa.yeh hai mera wada.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
6.kis tarha akeli rahoon sunsan makaa'n may guzreenge shabo rooz mere aaho fugha'n me marjaoongi marjaoongi marjaoongi bhaiya.ab chodona tanha.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
7.rahjaoongi rahjaoongi hai itne guzarish bhaiya zara baba yeh kardena sifarish nanhen ali asghar ko yahan chood ke jaana ehsan yeh.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
8.akbar neh yeh rokar dame aakhir kaha baba sharminda hoon sughra se na pura hiwa wada ek bar dekhado mujhe bemaar ka chehra armaan ho pura.
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)
9.aijaze imamat se nazar aya madina zahid rukhe bemaar ko akbar ne jo dekha shahkar nazar ayi behen eek zaifa.takti Houi Rasta
Sughra tumhe lene ko zaror aayega bhaiya wada hai mera(2)