Al Ajal Waris e Karbobala Zehra ke laal
- Afroz (Azhar Abbas) (2016)
Al ajal aye waris e karbobala Zehra k laal,,,,
Hum azadaron ke lab pa hai sada Zehra ke laal....
(1)
Ja ba ja maaloom ki bhikri hain laashe khaak par,,
Hadd hai Masjid tak hui hai khoob me ab tar ba tar,,
Hum azadaron ki Maula aake ab imdaad kar,,
Ghulshan e deen e khuda murjha gaya Zehra ke laal.....
(2)
Tere lashkar ke mujahid ja ba ja maare gaye,,
Nanhe nanhe se mujahid ke bhi sar kaate gaye,,
Maamta roti rahi aakhon ke sab taare gaye,,
Ye Zamana kar raha hai phir dagaah Zehra k laal.....
(3)
Is qadar aatank phaila shaam taa karbobala,,
Aalimane waqt ko maidan me aana pada,,
Teri nusrat ke liye ab baccha baccha hai khada,,
Teeghe Hyder haath me ab leke aa Zehra ke laal.....
(4)
Har taraf zulmo sitam hai aah hai lalkaar hai,,
Har husaini zindagi par zalimo ka waar hai,,
Daur e haazir me hamari zindagi dushwaar hai,,
Apna jalwa aake hum sab ko dikha Zehra ke laal.....
(5)
Gheer kar baithe hain zaalim turbat e binte Rasool,,
Gumbad e khizra ka dil phatta hai rooti hain batool ,,
Kis tarah is gham ko hum ahle aza karlen qabool,,
Zulfeqar e Hyderi aakar chala Zehra k laal.....
(6)
Hum azadaron ka ab koi nahi haye gazab,,
Matlab e Aale Mohammed ke hain dushman sab ke sab,,
Aap ke ajdaad ke rauze nahi mehfooz ab,,
Aaiye ab ghaib se behre khuda Zehra ke laal.....
(7)
Haye wo karbobala ka bekaso muztar Imam,,
Akbar o Abbas o Qasim sheerkhaare tashna kaam,,
Ro rahi hai qabre Zehra jis ke gham me subho shaam,,
Gham me hai dooba hua Baite khuda Zehra ke laal.....
(8)
Tukde tukde laash lekar ro rahe hain sab yahan,,
Khanjar e Bedaad hai hum sab ki gardan par rawaa'n,,
Waaris e karbobala jayen to jayen hum kahan,,
Aap Hi hain bekaso'n ke aasra Zehra ke laal.....
(9)
Daur pur aasoob hai jina bada duhswaar hai,,
Har taraf bumbariyan hain Zulm ki Yalgaar hai,,
Chalni chalni goliyon se Shah ke ghamkhaar hain,,
Baccha baccha kar raha hai ye Dua Zehra ke laal.....
(10)
Yaad aata hai hume Shabbir ka sukha gala,,
Kund khanjar se kati jab bosa gaahe mustafa,,
Khool kar baalon ko roti hai zamee'n par Fatema,,
Yaad karke gham wo karte hain buka Zehra ke laal.....
(11)
Kis tarah "meraaj" likkhe gham ka aakhir saneha,,
Har qadam par ek nayi "afroz" hai karbobala,,
Zulmaton ke daur me majboor hain ahle aza,,
Al amaa'n aye waris e mushkil kusha Zehra ke laal.....
Al ajal aye waris e karbobala Zehra ke laal.....