Besheer ko teeron ki hawa
- Waseem Rizvi (2015)
Ek maa ki ummeedo'n ko..(2) haaye
Ek maa ki ummeedo'n ko, qaza maang rahi hai
Besheer ko teeron ki hawa maang rahi hai..(2)
1. Maabood mere sheer ko taaseer ataa kar..(2)
Maa jhoole se lipti hai..(2) haaye
Maa jhoole se lipti hai, dua maang rahi hai
2. Is dil se zara puch ke dekhe to zamana..(2)
jis dil ka sukoo'n karbo..(2) haaye
jis dil ka sukoo'n karbo, bala maang rahi hai
3. Sahil se ubharti hui islam ki awaaz..(2)
Haider ki duao'n ka..(2) haaye
haider ki duao'n ka, sila maang rahi hai
4. Abbas ne baazu jo use de hi diye hai..(2)
mashkeeza bhi ab mauje..(2) haaye
mashkeeza bhi ab mauje, balaa maang rahi hai
5. Bachho'n ke janazo pe behen haath uthakar..(2)
Bus bhai ke maqsad ki..(2) haaye
Bus bhai ke maqsad ki, baqa maang rahi hai
6. Allah re laachar ye beemar tadap kar..(2)
shabbir se marne ki..(2) haaye
shabbir se marne ki, raza maang rahi hai
7. Sunsaan bayabaa'n me bhatakti hui bachhi..(2)
Ek laasha e besar ka..(2) haaye
Ek laasha e besar ka, pataa maang rahi hai
8. Parde ka chalan jiske gharane se chala tha..(2)
wo aaj musalmaa'n se..(2) haaye
wo aaj musalmaa'n se, rida maang rahi hai
9. Har shayere sarwar se faseel aaj bhi zahra..(2)
har lafz ghame sheh mein..(2) haaye
har lafz ghame sheh mein, dhala maang rahi hai
Besheer ko teeron ki hawa maang rahi hai..(4)