Kufe ka aur shaam ka manzar
- Nadeem Sarwar (1989)
Kufe ka aur shaam ka manzar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka aur shaam ka manzar
1. Qabr pe shabbir ki karte the abid buka
hogayi kya kya jafa, suniye shahe karbala
sar pe kisi ke na thi chadar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
2. Ek rasan mein baandhe chote bado ke gale
barsare darbar sab is tarha laaye gaye
kotho se barsaat the pathar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
3. Kufe ke baazar mein majma-e kuffaar mein
ek tamasha sa tha, aale sitamgaar mein
aise mein maa behne khule sarr
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
4. Tauq se hargiz na tha baba mera sar jhuka
hathkadi aur bedi ka koi mujhe gham na tha
dekha nahi jata tha manzar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
5. Bali sakina ka gham dil ye nahi bhoolta
sab ke the shaane bandhe uska bandha tha gala
dard se wo roti thi muztarr
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
6. Meri phuphi jaan thi balwe mein jo sar khule
naize se ammu mere farsh pe gir padte the
haaye chacha jaan ka safar
yaad jab aajata hai baba,
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
7. Leke gaye jab hame bazm-e-sitamgaar mein
saat-sau(700) kursi nasheen baithe the darbaar mein
takht pe baitha tha sitamgar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
8. Jab kiya sajjad se aake kisi ne sawaal
guzra kaha par imaam aap ko zyaada malaal?
kehte thay as-shaam muqarrar
yaad jab aajata hai baba
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....
9. Maqtalo tareekh bhi kar na sake haq adaa
likkhe aneese hazeen girya-e abid ko kya?
kahte the ye abid e muztarr
yaad jab aajata hai baba,
dil mera phat jaata hai baba
kufe ka.....