Zuljanah aye zuljanah
- Shahkar Abbas (2015)
Hai sakeena ki fugha'n mera baba hai kaha'n zuljanah zuljanah. (Souz)
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(1.) Chod kar daste bala me(2),mere baba ko akela, kyun chala aaya hai khali,kuch to batla de khudara.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(2)Tujh ko sarwar ki dohayee(2)raha makhtal ki batade,dil mera zaro hazee'n hai,mujh ko baba se milade.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zulajanah.
(3)Apne baba se bhechar kar(2)hoga dushwaar yeh jeena,ab to baba hai na seena,ab kahan soaye sakeena.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(4)Mere mazloom pidar ko(2) kya khabar is ki nahin thi,kam sini aur yeh yatimi,kaise seh paaye bacchi.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(5)Jaake baba se yeh kehde(2)raath is tarha kategi, zindagi bhar ab sakeena, khaak pa soya karegi.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(6)Mera phatta hai kaleja(2)har taraf gham ka dowa'n hai,mujh ko lechal soye makhtal,laash baba ki jahan hai.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(7)Kardiya bhoka-o-pyasa(2) khatl kyun sibte nabi, ko hai mujh khasta jigar par, reham aaya na kisi ko.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(8)Ab yakheen mujh ki howa hai(2)aag khaimo me lagegi, shimr maarega tamache, kaan hojayenge zakhmi.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)
(9)Mehdi Shahkar-o-Mujeeb ham(2)apna gham kisko sunaiyen, dashte gurbath me sakeena, derahi thi yeh sadaaye.
Zuljanah aye zuljanah mera baba hai kahan zuljanah(2)