Koi ghaybat mei
- Mir Hasan Mir (2009)
Koi ghaybat mei
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
1. Usse Zainab ka jaab bazar jana yaad ata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
2. (Koi ghamkhar ghaibat mei mayesar hi nahi usko) x2
(So tanhayi mei har nauha) x2 woh khud ko hi sunataa hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
3. (Unhi galiyon mei chal chal kar jaha chalti rahe Zainab) x2
(Nisha(n) Zainab keh qadmo(n)) x2 keh woh hathoo se mita ta hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
4. (Baqiyye mei sada e wa hussaina ghunj uthti hai) x2
(Woh jaab bhi qabr e Zahra) x2 aa keh seene se lagata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
5. (Nahi thamte hai uski aankh se aansoo kisi soorat) x2
(Usse behsheer ka) x2 jab muskarana yaad ata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
6. (Pidar ki god ki khatir sakina jab bhi roti hai) x2
(Woh lori baap ke) x2 lehjey mei beti ko sunata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
7. (Khayaal ata hai jab bhi parda e Zainab ka Mehdi ko) x2
(Kabhi talwar par) x2 woh haath rakhta hai hatata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
8. (Woh hujjat hai ussi ka kaam hai iss dard ko sehna) x2
(Kisi khaqi keh dil mei) x2 juan yeh gham kaab samata hai