Karbala waley yaad aayenge
- Shahid Baltistani (2016)
Karbala... Karbala..(4)
Paani pyaaso ko jab pilaoge, karbala waley yaad aaenge..(2)
Paani pyaaso ko jab pilaoge....
1. Koi marjata hai kisi ka agar
kandha dete hai log aake magar
sheh ne tanha uthai laashe pisar
jab jawaa koi laash uthaoge..
karbala waley yaad aaenge...
2. Karbala mein bana tha jo dulha
kya muqaddar tha uski dulhan ka
shab ko dulhan thi subha ko bewa
betiyo ka jo ghar basaoge
karbala waley yaad aaenge...
3. Ali asghar ki maa pe nazre thi
ran mein yu teer kha ke roya nahi
maa pareshaan ho na jaye kahin
zakhm khaa kar jo muskuraoge
karbala waley yaad aaenge...
4. Baap bichhda tha jab sakina se
har qadam par use tamache lage
koi deta na tha tasalli use
jab yateemo pe tars khaaoge
karbala waley yaad aaenge...
5. Ek beti jahaa'n me hai sughra
qabr tak jiska intezaar gaya
jiska baba na laut kar aaya
ghar mein pardes se jab aaoge
karbala waley yaad aaenge...
6. Haaye muslim ke wo pisar dono
eid ke din the dar ba darr dono
yaad karte the apna ghar dono
eid apno mein jab manaoge
karbala waley yaad aaenge...
7. Jab janaza batool ka uttha
sabr us dam ali ka kaisa tha
girya zainab ke saamne na kiya
aansu bacho se jab chhupaoge
karbala waley yaad aaenge...
8. Aisa dekha nahi ghareeb koi
bus ye ghurbat hai sirf Mahdi ki
qabr e zehra hai abhi tooti hui
qabr pe maa ke jab bhi jaaoge
karbala waley yaad aaenge...
9. Hai takallum payam e sabr yahi
karbala dil mein gar tumhare rahi
tum pe mushkil padhegi jab bhi koi
apne ghum saare bhool jaoge
karbala waley yaad aaenge...
Paani pyaaso ko jab pilaoge, karbala waley yaad aaenge
Karbala... Karbala..