Sughra ne likha

- Shahid Baltistani (2016)


Karbala mein jo khate fatima sughra aaya
padhke ye baat bohot shaah ko rona aaya
hashr mein hogi mulaqat hamari baba
arey ab na jee paaegi beemaar tumhari baba

Sughra ne likha baba, mushkil hai mera jeena
jab laut ke aaoge, haye meri qabr pe aajana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

1. Jab doobta hai suraj, dil doobne lagta hai
veeran hai sab hujre, ghar qabr ke jaisa hai
hai mere muqaddar mein, tanhai mein marjana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

2. Hai paas ajal mere, tum door ho sughra se
hasrat ye liye baba, jaati hu mai duniya se
kaandha to janaze ko, mumkin na huwa dena
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

3. Aata hai palat kar jab, pardes se ghar koi
maloom hai sughra ko, hoti hai thakan fir bhi
aye baba meri khatir, zehmat ye utha lena
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

4. Aakar meri turbat par, sab shamma jalaenge
aur bhai sirhane par, yaseen sunaenge
hojaega is tarha, aabad wo veerana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

5. Ae kaash madine mein, wo paas mere rehta
sughra ke janaze par, ek bhai to ro leta
baba mere asghar ko, turbat meri dikhlana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

6. Bhai ki mohabbat par, na harf koi aaye
maloom na ho unko, ye raaz hi reh jaaye
marne ka sabab meri, bhabhi ko na batlana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

7. Rukh hoga lahad mein bhi, aye baba suwe qibla
mai qabr mein jaakar bhi, dekhungi tera rasta
acha mere vaade ko, tum yu hi nibha lena
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana

8. Karti thi takallum wo, ye bayn qayamat ka
dastoor nahi hota, murde se mohabbat ka
amma ko magar baba, paigham ye pohchana
jab laut ke aaoge, meri qabr pe aajana