Azaan e darwaish

- Shahid Baltistani (2016)


Hussain, Hussain..(4)
Assalamu alaika ya, saarallahi wab na saareh
Assalamu alaika ya, qateelal abaraar

Aarzoo ye dil e mann, mahrame darde dil e mann
aye ghareeb e zahra, jaan e ali, khoone khuda

Tu nahi hai to mera, koi duniya me nahi
tere matam ke siwa, koi bhi armaan nahi
hayya alal azaa, hayya alal buka, Hussain Hussain
fi matamil hussain, mazloom e karbala, Hussain Hussain
Karbala ye tu qibla e dilam, arbaabe mann....
Aaaghaa e mann
Aarzoo ...

Mera anjaam hai tu, mera aaghaaz hai tu
hai tujhe meri khabar, mera hamraaz hai tu
mai hu deewana tera, meri aawaaz hai tu
tere matam ke siwa, koi bhi armaan nahi

hayya alal azaa, hayya alal buka, Hussain Hussain
fi matamil hussain, mazloom e karbala, Hussain Hussain
Karbala ye tu qibla e dilam, arbaabe mann....
Aaaghaa e mann
Aarzoo ...

Mi guyad saani e zahra
Aye ghareeb e zahra
Maa ke boodeem pardah nasheen
Az sare naizaa haale man bibeen

Zainab e khasta jigar, thi jo paabande rasan
chinn gayi uski rida, tune paaya na kafan
bayn ye karti rahi, laash par teri bahan
tere matam ke siwa, koi bhi armaan nahi
hayya alal azaa, hayya alal buka, Hussain Hussain
fi matamil hussain, mazloom e karbala, Hussain Hussain
Man baraye tu girya mikunam, tu baraye mann
Aaaghaa e mann
Aarzoo ...

3. Hai takallum ki dua, malike kaun o makaa'n
jis ke aankho'n se sadaa, khoo'n hai ghaibat mein rawaa'n
aake darwaish wo de, sehne kaaba mein azaa'n
{hayya alal azaa, hayya alal buka, Hussain Hussain
fi matamil hussain, mazloom e karbala, Hussain Hussain}..(2)
Man baraye tu girya mikunam, tu baraye mann
Aaaghaa e mann

Aarzoo ye dil e mann, mahrame darde dil e mann.... Hussain
aye ghareeb e zahra, jaan e ali, khoone khuda.... Hussain

Aynat-talib bi damil maqtoole be karbala..(3)