Tamam alam me aaj matam

- Nadeem Sarwar (1990)


Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai
alam gharon may sajay huway hai, dilon may farsh-e-aza bicha hai
tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai

1. Siyah kapde siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par
hai sogwaro'n kay ashk jaari, ke sani-e-zehra berida hai
tamaam aalam ...

2. Na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hai zuljanah khaali
ke mera duldul sawar-e-maula, zamin-e-karbal may so raha hai
tamaam aalam ...

3. Alam me mashq-e-sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo
chacha bhatiji may kya hai nisbat, wafa-e-abbas kya wafa hai
tamaam aalam ...

4. Hussain peeri may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale
jawaan beta lahu may dooba, zameen pe aedi ragad raha hai
tamaam aalam ...

5. Na maar barchi dil-e-nabi par, abhi huway hai jawaan akbar
ye qatl jisko tu kar raha hai, yehi to ham shakl-e-mustafa hai
tamaam aalam ...

6. Madinay walo khamosh rehna, ghareeb zainab say kuch na kehna
basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hai
tamaam aalam ...

7. Azaa-e-shabbir hai ibadat, janab-e-zainab ki hai amaanat
ye nauha tere qalam se mehshar, janab-e-zahra ki ek ataa hai
tamaam aalam ...