Abhi zinda hai hussain

- Shadman Raza (2016)


Mat badho janibe khaima
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Ismato aayaye tatheer ke rakwale hai
Hurmate khanaye kaaba ye haram waale hai
(Jhal na jaaye koi khaima)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Dar pe khaime ke hai hamsheer meri mazluma
Mere khaime me sakina hai meri masooma
(Us taraf jaane na dega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Luthane ke liye khaimo ki taraf wo jaate
Dekh sakta nahi beti ko tamache khate
(Shimr aage nahi badhna)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Tumne abbas ke bi kaat diye the baazu
Meri aaghosh me cheda mere asghar ka gulu
(Kehne ke ye shah ne roka)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Mere chehre pe hai asghar ke lahu ki surkhi
Mere seene me hai akbar ke jigar ki barchi
(Tukde qasim hai laasha)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Akhari saans hai ay zalimo me ghalib hu
Me Hussain ibne ali ibne abi talib hu
(Azm zakhmo se na tuta)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Tum jo badhte ho udar mujhko jalal aata hai
Ya ali ye meri ghairat ka sawal aata hai
(Aage badhne nahi dega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Teer pebast the me pushte faraz se jo gira
Me gasith tha hua khaimo ki taraf hu badhta
(Beh gaya khoon ka dariya)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Hai yateem usme hi sehmi hui kuch maae hai
Bain karti hui khaime me ye bewaaye hai
(Bibiyo ka hai sahara)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain

Ay kamar hona hai ik din mere mehdi ka zahoor
Sheh ye kehte hai ye waris mera aayega zarur
(Leke badla wo kahega)×2
Chur zakhmo se hai tanha
Abi zinda hai Hussain
Abi zinda hai Hussain