Apne baba ki ladli hu mai
- Waheed ul Hassan (2014)
Haye sakina...(4)
Apne baba ki ladli hu mai, mujhko pardes me rulao na..(2)
Goshware mai khud utaarti hu, tum tamache mujhe lagao na
Apne baba ki..(2)
Haye sakina, haye sakina
1. Maar daala hai mere baba ko
unke laashe ko mai sambhalungi
apne nanhe se zakhmi haatho se
teer unke sabhi nikalungi
chhod jaao yahi sakina ko, tum aseera mujhe banao na
Apne baba ki..(2)
2. Mai bahan hu sagheer asghar ki
mujhko choti batool kehte hai
mere kaano se khoon jaari hai
dekh aasu bhi mere behte hai
teen din se bohot pyaasi hu, thoda paani mujhe pilao na
Apne baba ki..(2)
3. Mujhko sajjad dhoondhte honge
meri phupiya'n tadap rahi hongi
baith kar khaak par wo khaimo ki
chupke chupke sisak rahi hongi
maine apno ke paas jaana, lillah unse mujhe milao na
Apne baba ki..(2)
4. Mai kali hu nabi ke gulshan ki
mujhko tumne bohot sataya hai
mere baba ko maar daala hai
rehm tumko zara na aaya hai
hogayi hu sehra mein, saath rehwaar ke daudao na
Apne baba ki..(2)
5. Rehm shere khuda ki poti par
tumko shimr e laee nahi aata
bhook hai pyaas hai nakahat hai
mujhse paidal chala nahi jata
saas lene do thodi der zara, taziyane mujhe lagao na
Apne baba ki..(2)
6. Mere ghazi chacha agar hote
tu mujhe is tarha satata na
mujhko baalo'n se yu pakadta na
khoon kaano'n se yu bahata na
berehem chhod mere baalo'n ko, ek yateema pe zulm dhaao na
Apne baba ki..(2)
7. Haye taukeer phool si bacchi
shimr e mal'oon se yu kehti thi
mai wo choti batool hu zalim
seena e shaah pe jo rehti thi
zulm karke dukhi sakina par, dard sajjad ke badhao na
Apne baba ki..(2)
Haye sakina.. Haye sakina