Qaid me bahen dasht me hussain

- Miscellaneous (2014)


Baage Mustafa Ran me yu luta x2
Qaid me bahen Dasht me Hussain

Vo hui aseer unka sar kata x2
Qaid me bahen Dasht me Hussain

Aake dekhe kaun Maa ke dil ka haal,
Dasht me bujha ghar ka har charag,
Zakhme naujawa khoon de chuka

Kitne so gae gam ki raah me,
Jalti ret par katl gaah me,
Maut ban chuki Dard ki dawa.

Asar ko luti haq ki daulate,
Khaak me mili maa ki hasrate,
Nanhi qabr me bezubaa gaya

Yoo chala hai aah ujda kaarwaa,
Raasta kathin ham se dil tapa,
Haath me rasan tauq me gala.

Koi bhi nahi bekaso ki raah,
Kon samjhe aah kon puche aah,
Kis ka ghar luta kis ka ghar jala.

Tege chal chuki kat chuke gale,
Shole uth chuke khaime jal chuke,
Koofe ki taraf qaafla chala.

Khoo bhara alam kaun ab uthae,
So raha hai sher hatho ko katae,
Band kar chuki fauj raasta.

Fazl zulm ki hai ye inteha,
Garm khaak par khaimo ki jaga,
Koi bhi nahi ran me na khuda.