Main Pyaasa Hun Amma

- Mir Hasan Mir (2008)


ya qatile jafaa, ya hussein-e-shaheed

ya hussein, maula hussein..(2)

main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)

hai khushk gala mera..(2)
aur saamne hai dariyaa, haaye
main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)

1. Tumne toh sadaa apne
pehlu mai sulaaya hai
jab pyaas lagi mujhko
khud paani pilaya hai
seh roz se ab maine..(2)
paani hi nahi dekha, haaye

2. Khanjar meri gardan par
ab shimr chalaega
amma yeh samaa tumse
dekha nahi jaega
jalti hui reti par..(2)
karna hai mujhe sajdaa, haaye

3. Zakhmon me mere amma
hai ret bayabaa ki
jalta hua sehra hai
saaya bhi nahin koi
mai maalik e kausar hu..(2)
hai phir ye sitam kaisa, haaye

4. Ab ham nahin aayenge
zainab ko bata dena
masoom sakina ko
tum paani pila dena
hargiz na pukarega..(2)
ab aap ka yeh beta, haaye

5. Har haal me darya par
abbas ko jaana tha
yeh mashke sakina toh
bas ek bahaana tha
dil Uska bhi jalta tha..(2)
ghazi bhi samajhta tha, haaye

6. Hamshakle payambar ne
jis dam se azaan di hai
Uss dam se laeenon ne
mohlat hi nahin di hai
ab aap ki godi me..(2)
hai yaad mujhe aaya, haaye

7. Bachpan se yeh aadat thi
jab pyaas mujhe lagti
bin maange hue ghazi
ley aata thaa khud paani
le aae zara paani..(2)
ghazi ko sadaa dena, haaye

8. Kausar pe mera lashkar
jis waqt gaya hoga
har chhota bada jaakar
baba se milaa hoga
har ek ne yeh jaakar..(2)
Unse bhi kahaa hoga, haaye

9. Aye "meer takallum" ho
manzar tha bhalaa kaisa
royi jo nabi-zaadi
ek shor e qayaamat tha
jab chalne lagaa khanjar..(2)
kehte hi rahe maulaa, haaye