Ya aliya ailiaya

- Ali Shanawar and Ali Jee (2016)


Shaam e ghareebaa'n
Ya aliyun, ya aliyun, ya aliyun, ya ali..(3)

Ya ali ya ailiaya, bul hasaniya buturab..(2)
Bhai mera qatl hua, aaiye baba shitaab, bul hasaniya buturaab
Ya ali ya ailiaya, bul hasaniya buturab..(2)

1. Lo phayl gaya shame ghareeba'n ka andhera
asbaab luta jal gaya sadaat ka khaima
be goro kafan rann me hai shabbir ka laasha
sab maare gaye dasht mein zainab hui tanha
asghar e besheer ko rone lagi umme rabab
bul hasaniya buturaab

2. Haye wo bahan jiske ho atthara baradar
aur baap bhi jis beti ka ho fatahe khaibar
narghe me laeeno'n ke wo mazloom khule sar
kaise na kare nauha wo phir khaak uda kar
nauha kuna khuld me hai rooh e risalat muaab
bul hasaniya buturaab

3. Akbar ka jigar hogaya barchi se do para
aur asghar e masoom bhi maara gaya pyaasa
tukde huwa maidaan me naushaah ka laasha
maara gaya wo sher jo tha sabka sahara
aun o mohammad ka mila khaak me kaisa shabaab
bul hasaniya buturaab

4. Rehan bohot ho chuki ab ashk feshani
zainab pe musibat ki ye purdard kahani
sab ehle azaa sun chuke sarwar ki zabani
thamti hi nahi aankho'n se ashko ki rawani
kaun sune qissa e ghum kisme rahi itni taab
bul hasaniya buturaab

Ya ali ya ailiaya, bul hasaniya buturab
Bhai mera qatl hua, aaiye baba shitaab,
bul hasaniya buturaab