Shaam ki aurton
- Mir Hasan Mir (2008)
Shaam ki aurton
Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2
- (Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum
- Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi
- Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi
- Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai
- Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana, Beridaa Bibiyon Ko Na Laana
- Qabre Bekas Pe Aansun Bahaane, Haal Qaide Sitam Ka Sunaane
- Shaamiyon Ki Bahu Betiyon Se, Keh Rahi Thi Woh "Akber" Yeh Roke
(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2
Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi
Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi
Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi
Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Tumko Asghar Bhi Dega Duaaen, Iski Tanhaiyaan Yun Mitaana
Chhote Chhote Se Baccho Ko Laakar, Paas Iske Sulaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Qaafla Karbala Ko Chalaa Hai, Iske Baba Ka Chehlum Manaane
Itna Kehdo Hamaari Taraf Se, Iska Chehlum Manaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Yeh Amaanat hai Pardesiyon Ki, Kar Rahi Hun Tumhaare Hawaale
Mujhse Ik Baar Bas Itna Kehdo, Apna Waada Nibhaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo