Zainab hu mai

- Safdar Abbas (2012)


Zainab ne khutba diya
darbaar hilne laga
khutbaat ki tegh se ye kehke hamla kiya
zainab hu mai, mera baba ali, meri maa sayyeda..(2)
Ae shamiyo, zainab hu mai
ghor se tum suno, mera baba ali
aaj khutba mera..
Zainab hu mai....(2)

1. Ye na samjho ke majboor o lachaar hu
azm shabbir haider ki talwaar hu
marziye rabb se ghum me giraftar hu
baad e abbas mai hi alamdaar hu, alamdaar hu
pehchaan lo, zainab hu mai
sunke lehja mera, mera baba ali
kaun hu bakhuda...
zainab hu mai....

2. Jaan jaoge tum mera naam o nasab
jisne paaya hai shere khuda ka laqab
uski beti hu mai jaante hai ye sab
aaj dekhoge tum mera ghaizo ghazab, ghaizo ghazab
mai shaam ko,zainab hu mai
jeet kar jaungi, mera baba ali
azm hai ye mera
zainab hu mai...

3. Meri rag rag mein hai khoon e khaibar shikan
kya mujhe qaid kar paegi ye rasan
sher jaise baradar ki hu mai bahan
kaap jaenge lehje se koho daman, koho daman
waada wafa, zainab hu mai
mai karungi yaha, mera baba ali
bhai shabbir ka
zainab hu mai...

4. Ibne marjana jaisa najis aadmi
ye samajhta hai fatha usse mil gayi
qatl hokar bhi zinda hai mera akhi
hai dilo par hukoomat mere bhai ki, mere bhai ki
baad az hussain, zainab hu mai
ban gai mai hussain, mera baba ali
ye rajaz hai mera
zainab hu mai...

5. Dekhna kaam aisa mai kar jaungi
hogi is shehr par bhi hukoomat meri
hogi majlis yaha par mere bhai ki
mai mita dungi zehno se yu teergi, yu teergi
hoga wohi, zainab hu mai
maine jo kehdiya, mera baba ali
ye hai daawa mera
zainab hu mai...

6. Mere khutbo se gunjegi ye waadiya'n
lehja e haideri sab pe hoga ayaa'n
yu gira dungi khutbaat ki bijliya'n
ab ye aiwan e zulmat rahenge kaha'n, rahenge kaha'n
reh jaega, zainab hu mai
is faza me asar, mera baba ali
meri awaaz ka
zainab hu mai...

7. Shaam walo suno baat meri majeed
jitna chaho karo zulm hum par shadeed
mujhko khud par bharosa hai rab par ummeed
bhool jaega bay'at ki baate yazeed, baate yazeed
ye azm hai, zainab hu mai
aur aelaan hai, mera baba ali
karke dekho wigha
zainab hu mai...

8. Tum kahan aur zehra ki beti kahan
rok paegi kya mujhko ye sakhtiya'n
tod daalungi mai saari pabandiya'n
jitni chahe bhi pehna do tum bediya'n, tum bediya'n
jana nahi, zainab hu mai
tum ne shayad mujhe, mera baba ali
sunlo ehle jafa
zainab hu mai...

9. Binte haider ka safdar ye aelaan tha
apne bhai se maine jo waada kiya
sunlo ehle jafa, sunlo ehle jafa
jaan dekar karungi wo waada wafa, waada wafa
muztar hu mai, zainab hu mai
aur qaidi bhi hu, mera baba ali
fir bhi hai hausla
zainab hu mai......