Ye kon si basti hai

- Mir Hasan Mir (2008)


Ye kon si basti hai

(Shaam Haaye Shaam) x 4

(Hai Sab Ki Jolion Me Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza) x3

(Hotaa Hai Charaaghaan Kyun Ghar Ghar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizaa

(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  1. Puchho Toh Zaraa Amma Inse, Kyun Dekhne Hamko Aate Hai
  2. Har Simpt Khushi Ka Aalam Hai, Bazaar Sajaaye Jaate Hai

    (Kyun Eid Ke Jaisa Hai Manzar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

    (Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  3. Sajjad Ki Aankhon Se Ab Tak, Aansun Hi Baraste Dekhe The
  4. Ab Dekh Rahi Hun Mai Uski, Aankhon Se Musalsal Khun Behte

    (Puchho Toh Kisi Se Yeh Jaakar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

    (Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  5. Baaghi Aaye Baaghi Aaye, Ye Kaisi Manaadi Hoti Hai
  6. Lagta Hai Zamaane Baad Koi, Is Shehr Mai Shaadi Hoti Hai

    (Kuch Aise Saje Hai Baamo-Dar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

    (Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  7. Ham Sab Ke Saron Se Behte Hai, Kis Waaste Yeh Khun Ke Dhaare
  8. Koi Qaul Sa Paani Phenktaa Hai, Koi Phenk-rahaa Hai Angaare

    (Sab Milkar Maarte Hai Pathhar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

    (Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  9. Waada Jo Kiyaa Thaa Yasrab Mai, Aata Hai Yaad Wahin Waada
  10. Mehsus Mujhe Yeh Hota Hai, Tak-taa Hai Koi Mera Rastaa

    (Kya Sheereen Ka Hai Paas Mai Ghar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

    (Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza

  11. Quraan Sunaate Jaate The, Shabbir Sare Naouke Nezaa

Rotaa Tha "Taqallum" Ibne Ali, Jab Puchhti Thi Binte Zehra

(Kyun Girtaa Hai Abbas Ka Sar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza

(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza