Zainab si behan hai
- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)
Mehsoos kare koi to, dil kaap uthega
sailaab e ghamo dard hai, roke na rukega
khud kaatib e taqdeer basad dard likhega
maqtal ki zamee'n roegi, zindaan kahega
Pardes hai ghurbat hai, (barabar ki thakan hai)..(2)
Abbas sa bhai hai to, (zainab si bahan hai)..(2)
1. Ek saniye zehra hai, to ek saniye haider
shabbir ka ek bhai hai, (aur ek hai khwahar)..(2)
Hai boodhe ali bhai , (bahan rashke chaman hai)..(2)
Pardes....
2. Ek zamine chadar hai, sabhi ehle haram ka
aur ek ki rida dhoop mein, (saaya hai alam ka)..(2)
ek dharas e shabbir hai, (ek qalb e hasan hai)..(2)
Pardes....
3. Dono ne wafao'n ka, bharam aise rakha hai
ye hukm ka paband wo, (paband e haya hai)..(2)
ek tashna e paykar hai, (ek tashna dahan hai)..(2)
Pardes...
4. Dono hi alamdaar e wafa hai sare maidaa'n
ye asr se pehle wo, (pase shaame ghareeba'n)..(2)
kaapa huwa sehma hua, (dono se hi rann hai)..(2)
Pardes...
5. Ek majlis o matam ki, bena daalne wali
ek baad e shahadat bhi hai, (maidaan ka ghaazi)..(2)
ek hai bani hashim ka qamar, (ek kiran hai)..(2)
Pardes...
6. Bazu the bandhe sar tha, khula jab ke behan ka
be bazu alamdaar tha, (mohtaj kafan ka)..(2)
dono ke kalejo me, (musalsal ye chubhan hai)..(2)
Pardes...
7. Wo barsare naiza tha, ye kaa'nto pe rawa thi
sar uska gira naize se, (ye mehwe fugha thi)..(2)
ye khoon ki taseer hai, (rishto ki lagan hai)..(2)
Pardes...
8. Abbas ki ik aankh mein jab teer chubha tha
dil thaam ke zainab ne, (basad dard kaha tha)..(2)
majboor hu bhaiyya mere, (haatho'n me rasan hai)..(2)
Pardes...
9. Rehan o raza zainab o ghaazi ki dua hai
wallah ye shehzaadi, (sakina ki ataa hai)..(2)
is nauhe me taaeed e (shehenshahe zaman hai)..(2)
Pardes hai ghurbat hai, (barabar ki thakan hai)..(2)
Abbas sa bhai hai to, (zainab si bahan hai)..(2)