Ana Mazloom Hussain

- Ali Safdar (2016)


Hussain..Hussain
Hussayn, Hussayn, Hussayn, Hussayn..(2)

Ana Mazloom Hussain..(8)
Mai hu mazloom Hussain

1. Ae azadaro madine ka safar maine kiya
qabr e zahra se hata nana ka marqad chhoda
dar ba dar phirta hua karbobala mein pohcha
reh gayi ghar mein akeli meri beti sughra
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

2. Maine akbar ko lahu hote hue dekha hai
tukde tukde ye bhatije ka mere laasha hai
mere hatho'n pe hi besheer mera tadpa hai
mere zaanu pe hi abbas ne dam toda hai
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

3. Khaak aur khoon mein doobi meri tanhai hai
mai bhi pyaasa hu sakina bhi meri pyaasi hai
dekh kar meri musibat meri maa roti hai
maine akbar ke kaleje se sina khechi hai
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

4. Zibha ke baad bhi kam mujhpe musibat na hui
ek anguthi ke liye kaat li ungli meri
laash meri sume aspaas baha rondi gayi
mere tukde se sadaa aati hai bus ya mahdi
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

5. Shaam o kufa mein har ek zulm ki shiddat dekhi
noke naiza se har ek bachhe ki haalat dekhi
maine sajjad ke chehre ki aziyat dekhi
band aankho'n se bhi zainab ki musibat dekhi
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

6. Maine lut te hue karbal mein bhara ghar dekha
maine sajjad ke ashko'n ka samandar dekha
noke naiza se mere sar ne ye manzar dekha
majma e aam mein zainab ko khule sar dekha
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

7. Aaj bhi dukh mere qatil mujhe dete hai mazeed
gardane kaat ti hai aaj bhi wo nasle yazeed
masjido'n mein bhi azaa walo pe hai zulm e shadeed
aaj bhi hote hai ye mere azadaar shaheed
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

8. Mujhko maloom hai jo zulm mere baad hue
maine dekha hai jalae gaye mere khaime
kaise khaichi gayi zainab ki rida naize se
shimr ne kaise sakina ko tamache maare
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain

9. Ae qamar kehte hai maula mai bohot tanha hu
zakhm apno se jo lagte hai mujhe sehta hu
door maqsad se azadaar hai mai rota hu
ab bhi mazloom hu mai aaj bhi mai pyaasa hu
Ana Mazloom Hussain..(6)
Mai hu mazloom Hussain