Mai jung karunga batil se
- Ali Safdar (2016)
Abbas abbas abbas hu abbas..(2)
Ana ibn e haider..(8)
hashim ka lahu hai mera lahu
abbas hu abbas
mai shere khuda ka beta hu
abbas hu abbas
shabbir hamare aaqa hai mai unke hukm pe chalta hu
abbas hu abbas
hai meri wafae unke liye beti ka mai unki saqqa hu
abbas hu abbas
wo dil jo mohammad ka dil hai ye dil bhi bana hai us dil se
abbas hu abbas
Mai jung karunga batil se..(2)
hum jung karenge batil se..(2)
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
1. Baksha hai alam jo aaqa ne
dil aise alam par naaza hai
hamza ka alam ye, jafar ka,
ye parchame shere yazdaa'n hai..(2)
lehrae alam ye duniya mein
us ghaazi ka ye armaa'n hai..(2)
ye parcham e haqq hai haqq ki qasam
pohcha hai ye daste mursal se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
2. Aaqa ne mujhe jo roka hai
isme bhi khuda ki marzi hai
ek pal bhi na thehri maidaa'n mein
ye fauje adu jo bhaagi hai..(2)
be jung o jidal asaani se
humne ye taraai cheeni hai..(2)
sadqe me sakina ke humko
ye izn mila hai mushkil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
3. Bu lahab ke gandhe haatho'n ne
chhode jo nishaa'n rukhsaro par
ye naqshe sitam hai batil ke
qur'aan e mubee'n ke paaro'n par..(2)
Allah ki lanat hai unpar
wo haath jale angaaro'n par..(2)
ye sarkash o kafir ehle hawas
na waqif hai mustaqbil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
4. Jaari hai lahu jo kaano se
jo khoon se kurta bheega hai
jo aag lagi hai daman mein
hum ne ye sitam bhi dekha hai..(2)
ye tashna labi ye zulm o sitam
sab dil pe hamare likha hai..(2)
ab qehre khuda se pehle to
hum baat karenge qatil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
5. Hum saath tumhare rehte hai
jungle hume dhoondha na karo
baba ko aziyat hoti hai
baba ke liye roya na karo..(2)
asghar ke tabassum ki hai qasam
asghar hai kaha'n pucha na karo..(2)
wo parda e turbat me hai yahi'n
ye noor hai badre kamil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
6. Mai tere haal pe larza hu
ae bali sakina kushta e ghum
cheerunga jigar har zalim ka
khata hu mai apne rabb ki qasam..(2)
jaldi wo zamana aaega
jab hogi hamari tegh alam..(2)
wo waqt zyada door nahi
kuch door nahi haq manzil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
7. Ae saniye zehra binte ali
salaar e haram mazloom hai tu
shehzadiye kufa hokar bhi
ek chadar se mehroom hai tu..(2)
ab tak na ruka wo zulm o sitam
ab zere lahad maghmoom hai tu..(2)
hai teri khitabat mehwe wigha
is waqt bhi qasre batil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
8. Phir waqt wahi hai duniya me
phir ehle hawas hai takht nashee'n
majboor ka jeena mushkil hai
phir zulm se hai azaar zamee'n..(2)
maangi hai duae'n humne abad
humko to hamesha se hai yaqee'n..(2)
jab hadiye daura'n aaenge
tab naaw lagegi sahil se
aati hai sadae'n sahil se..(2)
Mai jung karunga batil se
hum jung karenge batil se
Mai jung karunga batil se..(2)
Ana ibn e haider..(4)
Abbas abbas abbas hu abbas..(2)